Khan Abdul Ghaffar Khan Biogrphy in Urdu

Khan Abdul Ghaffar Khan, Pashtun celebrity as political leader, who preached a philosophy of non-violence in British professionals. Khan Abdul Ghaffar Khan was born in 1890. He received primary education at home. After, he studied at Mission High School Peshawar. At the age of 29, he was a silent leader. But Rolta Act in 1919 when it went against the movement in the subcontinent was shown his skills. In 20 January 1988, he was died. In this page you will read pashtun leader Khan Abdul Ghaffar Khan biography in Hindi Urdu and Roman Urdu.

Khan Abdul Ghaffar Khan Biography in Urdu

Khan Abdul Ghaffar Khan Pakhtoon ke siasi rahnuma ke tour par mashhoor shaksiyat hain jinhon ne Britannia dour mein adam tashadud ke philosophy ka parchar kia. Khan Abdul Ghaffar Khan zindagi bhar adam tashadud ke hami rahey aur Mahatma Gandhi ke baray maddahon mein se aik thay. App ke maddahon mein app ko Bacha Khan aur Sarhadi Gandhi ke tour par pukara jata hai.

App 1890 mein Utmanzai mein paida huye. Ibtedai taleem ghar per hasil ki. Baad mein Mission High School Peshawar mein dakhil huye. Aik saal Aligarh mein bhi guzara. Garmiyon ki chutiyon ke liyeh waten wapas aye to taleem adhori chor di. Britannia foj mein shamuliyat ka shouq huwa. Bacha Khan ko Foji officer ki wardi pehenne ka shuq tha. Iss zamane mein ala Musalman gharano ke noujawano ko horse riding daston mein Junior Commissioned Officer liya jata tha. Abhi shamuliyat ikhteyar na ki thi ke unhon ne aik roze apney dost ko alla Angrez officer se jhar partey dekhi iss per Angrez ki nokri se nafrat ho gaye.

Khan Abdul Ghaffar Khan (Bacha Khan) ke barey bhai Abdul Jabbar Khan (Doctor Khan ) Englishtan mein thay unhon ney Abdul Ghaffar Khan ko waheen bolaya lakin Walid Sahib ney janey na deya keonkey Doctor Khan Sahib ne waheen molazmat ikhteyar ker ke aik Angrez Khatoon se shadi ker li thi aur un walda ka kheyal tha ke bara beta to hat se geya ab chota beta bhi waheen jaker kisi Angrez larki se shadi karey ga aur waheen ka ho rahey ga. Iss tarah Bacha Khan taleem ke liyeh baher na jasake.

1911 mein Angrezon se nabro azma mashoor mojahid Haji Sahib Turangzai ki tahreek se wabista hogaye. Haji Sahib ne Sarhad bhar mein 72 Madrase qaim keya jo unki tehreek jehad ke marakez they. 1913 mein Haji Sahib Tarangzai Qabaili Ilaqon mein apna markaz qaim kerne ke liyeh muntaqil hogaye. 29 saal ki umer tak Khan Abdul Ghaffar Khan (Bacha Khan) khamosh karkun ki hasiat se rahe lakin 1919 mein jab Rowlatt Act ke khelaf Bare Sagheer mein tehreek chali to unki khatibana salahiatein zahir huyein natijatan griftar hogaye aur 1924 mein reha huye. Issi bares hijrat ki tahreek chali to Bacha Khan bhi bohot se satheon ke sath Kabul Hijrat ker gaye. Tehreek hijrat halaat ki sangini se takrao to Bacha Khan bhi dusre mahajreen sameat iss ehisas ke sath watan wapas loutay ke azadi aise jazbati iqdamat se hasil nahein ki ga sakti tahreek hijrat Haji Sahib Turangzai ke madrason ko khatam ker dala tha Bacha Khan ko teen saal ke liyeh jail mein dal dia gaya 1942 mein jail se nikley to khelafat comaitee mein kam kerte rahe.

1927 mein Ghazi Amanullah Khan ke khelaf Afghanistan mein sorish huye to Khan Abdul Ghaffar Khan (Bacha khan) aik wafd ke sath Amanullah Khan se mulaqat ke liye Balochistan ke raste Kandahar ja rahe thay ke unhein Sibbi mein griftar kar liya gaya. 1930 mein sarhad mein Angrezon ke khelaf azadi ka ahang intehai taiz ho gaya Qissa Khawani Bazar mein firing huye hazaron ki tadad mein Pakhtoon shaheed kiye gaye Khan Abdul Ghaffar Khan (Bacha Khan) ko Atmanjai se Peshawar atey huye griftar ker liya geya aur agley 7 saalon mein Abdul Ghaffar Khan sirf chand mah jail aur nazar bandiyon se azad reh sake.

Bartanwi Raj ke khelaf kai bar jab tahareek ko nakami ka samna kerna para to Khan Abdul Ghaffar Khan ne imrani tahreek chalane aur Pashtun Qabail mein islahat ko apna maqsad hayat bana liya. Iss soch ne unhein South Asia ki aik nehayat qabil ziker tahreek khodai khidmatgar tahreek shuru kerne par majboor kiya. Iss tehreek ki kamyabi par inhein aur sathiyon ko kai bar tashadud ka nishana banaya gaya aur paband slasal kiya gaya.

1931 mein app jail se chutey to issi baras phir Mount Marlow islahat ke khelaf tahreek chalane ke jurm mein pandrah hazar razakaron samait griftar huye. Issi baras badtareen hotey hueay halat mein unhon ne Mahatma Gandhi aur Indian National Congress ke sath ilhaq kar dea jo iss waqt adam tashadud ki sab se bari hami jamat tasauar ki jati thi. ye Alhaq 1947 mein azadi tek qaim raha. South Asia ke mumalik ki azadi ke bad Khan Abdul Ghaffar Khan ko noble iman ke liye bhi namzad keya geya.

1934 mein rahai pai to un ka Punjab aur Sarhad mein dakhla mamnun qarar diya. Ye woh dour tha jab Khan brothers Gandhi ke qareeb aye Sait Jamnalal Bajaj ne unhein apne haan Warda aney ki dawat di. Unhein dinon Gandhi Ji bhi waheen moqeem thay. 1935 mein Sarhad anye per pabandi khatam huye to ghar aney se pashter Bambai mein griftar huye iss tarah chay baras bad August 1937 mein ghar wapis aye lakin unn qurbaniyon ka samara unhein uss waqt mila jab issi baras un ke sathi Sarhad Assembly ke pehle amm intekhabat mein pachas mein se unees nishashton per kamyab rahe. Iss ke baad azadi ki jaddojehad mein congress ke sath rahe.

1944 mein “Hindustan chor do” ki tahreek mein lathi charj ka shikar hoker app ki do paslian toot gayein. Zakhmi halat mein app ko qaid mein dal diya gaya. Jang Azeem ke khatme per app reha huye 1946 ke amm intekhabat mein Mutthida Hindustan ki markazi dastoor saz Assembly mein rukun muntakhib huye baad mein Pakistan ki dastoor saz Assembly ke rukun rahe. 1948 mein karachi mein Peoples Party ki bunyad Bacha Khan ne rakhi lakin iss se pashter ke iss nauzaidah jamat ka dhancah khara hota June 1948 mein griftar ker liye gaye. January 1954 mein reha keye gaye to Soba Sarhad mein dakhla aur naqlo harkat ki azadi na thi. Punjab ke zila Atak mein Ghour Ghashi ke moqam per moqeem rahe. Albatta iss sauran khasusi ajazat ke sath Karachi aur Murree mein dastoor saz Assembly ke ijlason mein shirkat ker tay rahey July 1955 mein pabandyan khatam huein to Sarhad aye aur Anti One Unit Front banaya ta ke One Unit ka qiyam roka ja sake. lakin one unit bana aur phir Khan Abdul Ghaffar Khan aur Doctor Khan Sahib ke raste juda hogaye. June 1956 mein apney bhai Doctor Khan Sahab hi ki wazarat Aala ke zamane mein griftar ker liye gaye. Baghawat aur inteshar phelane ilzam mein moqadmat qaim huay. January 1957 mein rahai pai to National Awami party banai October 1958 mein Mashalla nafiz hua to masaibka key daur ka Agaz hua. 1960 aur 1970 ka darmeyani arsa Khan Abdul Ghaffar Khan ney jailon aur jila watni mein guzara. Dekha jaye to unki pori zindagi hi jail ke chakker katte huye guzer gae . 1919 se 1964 tak koi ais arsa na tha jab app mosalsal teen saalon tak jail se bahar rahe hon.

Khan Abdul Ghaffar Khan ne National Congress ki hamnawai mein do qaumi nazere Musalmanon ke judagana tashkhus aur qiyam Pakistan ko kabhi tasleem nahein kiya. Qiyam Pakistan ke sath hi Pakhtunistan ke daye ho gae. 1965 mein Kabul chale gaye wahan se Al India Radio Kabul per apni taqreron zareye se Pakistan ki mokhalfat aur Pakhtunistan qaim ki tahreek chalai. Jab Russian afwaj ne Afghanistan per hamla kiya to unhon ne Afghan Mojahideen ki bhi hemayat nahein ki. Kabul mein app ne Bharti safarat khane ke sath gahre taluqat qaim rakhe.

1987 mein app pehle shakhs thay jin ko Bharti shahri na hone ke bawajud Bharat Ratna Award se nawaza gay jo sab se azeem Bharti Civil Award hai. Bharat ke iss doure ke dauran unhein apni tehreek ke liye karoron rupay ki thalyan bhi pashe ki gayein.

20 January 1988 Peshawar mein Bhacha Khan ka Inteqal huya aur app ko wasihat ke mutabiq Jalalabad Afghanistan mein dafan kiya gaya Afghanistan mein iss waqt ghamsan ki jang jari thi lakin app ki tadfeen ke moqa per dono ataraf se jang bandi ka faisla huya ye baat app ki shakhsiyat ke ilaqae asro rasukh ko zahir kerti hai.

Bhacha Khan ki pehli shadi 1912 mein hue jis se Khan Abdul Ghani Khan aur Abdul Wali Khan paida huye. Dosri shadi 1920 mein huye jis se aik Sahib Zadi Yehya Jan aur Abdu Ola Khan paida huey. Agarchay Khan Abdul Ghaffar Khan zindagi phar apne Pakistani hone se inkari rahey aur Pakistan ko aik “Ghulam” reyasat qarar detey rahey (Yahi waja hai key unhon ney dafan hone ke leye Afghanistan ki “Azad” Sarzamine ka intekhab kiya) iss hawale se unhein iss kitab mein shamil nahein kiya jana chahiye tha. Magar Pakistani siasat aur South Asia ki tareekh per un ke asrat se inkar nahien kiya ja sakta hai.