Syed Yousaf Raza Gilani Biography in Urdu

Syed Yousuf Raza Gilani was born on 9 June 1952 in Karachi. He did his graduation from govt. F.C College Lahore in 1970. In 1976, he completed M.A from Punjab University. In 1978, Yousuf Raza Gilani steps into the politics and became the member of Muslim league central working comity. In 1988, Yousuf Raza Gilani joins the Peoples Party. In the general elections of 2008, Yousuf Raza Gilani was elected as the member of national assembly. Yousuf Raza Gilani was elected as the 24th prime minister of Pakistan on 25 March 2008. In this page, you will read former prime minister Yousaf Raza Gilani History In Urdu, biography In Roman Urdu.

Yousaf Raza Gilani Biography In Urdu

Syed Yousuf Raza Gilani 9 june 1952 ko Karachi mein paida huye. Ibtadai taleem Multan mein hasil ki. 1970 mein Government FC College Lahore se graduation kya. 1976 mein Punjab Univesity Lahore se MA sahafat ki digri li . 1978 mein siasat ki duniya mein qadam rakha aur Muslim League ki central warking committee ke rukun muntakhib huye. 1982 mein wafaqi Consil ke rukun bane 1983 mein Syed Fakhar Imam ko shikasht day kar Chairman zila Council ke rukun ban gaye. 1984 mein parlimani wafd ke hamrah bahaisiat rukun Jakartah ,solo (Indonesia) ka daurah kiya. April to January 1986 mein Wazir e Azam Pakistan Mohammad Khan Junejo ki kabinah mein pehlay housing aur tamirat ke Wazir aur phir January 1986 se December 1986 Railway lain mabain manfuf o Damam (Saudi Arab) ka moaina kiya. 1986 mein Saudi Arabia ki. Darul hukumat Raiz ki silver jubli taqrebat mein shirkat ki. 1988 mein Pakistan Peoples Party mein shamuliat akhtair ki amm intakahabat mein Nawaz Sharif ko shikasht day kar wafaqi kabina mein shamil huye aur Benazir Bhuttu ki kabinah mein saiahat aur housing o tamirat ki wizarat ka qalamdan sanbhala

1988 hi mein Arwan ke Darul Khalafa Aman mein Rawalpindi aur Islamabad ko jurwan shahar qarar diya janay ki taqreb mein sharik huey isi saal Syed Yousaf Raza Gilani Pakisan Peaple’s Party ka Vise Chairman namzad kiya gaya. 1989 World Tur Azam argunaizashan ke ijlas jo ke France ke Darul hukumat Paris mein munaqid hua shirkat. I Jazirah Bali (Indonashia) ka daurah aur Pakistan Association of Travel Agents (PATA) ke ijlas muaqdah Dehli mein shirkat ki. Isi dauran Mumbai, Shimla , Aagrah, Fetehpur Sikri, Ajmer, aur Jaipur ka daurah kiya. 1990 mein Benazir Bhuttu ki taraf se shoshal Demokratik Parti ke salanah International kanwan shan munaqadah Germany ke shahar Berlin, Denmark ke shahar Copenhagen aur Italy ke shahar (city) Rejumili mein batour numaindah shirkat ki .

1990 mein tesri martabah Member National Assembly (MNA) muntakhib huye 1991 mein Iran ke Darul hukumat Tahran gaye Imam Khomeini ki barsi mein shirkat ki 18 April 1993 ko Ghulam Ishaq Khan ne Qaumi Assembly tordi Nawaz Sharif hukumat ikhtatam ko pahonchi isi roz Mir Balakh Sher Mazari ko nigran Wazir Azam bana dia gaya iss nigran kabina mein syed Yousuf Raza Gilani ko baldiat ka qalam dan sonpa gaya .

1993 se 1997 Qaumi Assembly ke spekar rahay.1996 mein New York IPUL ki raraf se Aqwam e Muttahida ki golden taqrebat mein Aqwam e Muttahida ke ijlas se khatab kiya. 1995 hi mein Muslim khawateen Parlimentar ki pahli bainul aqwami canfarans jo ke Islambad mein munaqad hui ki sadarat ki. 1995 mein Yousaf Raza Gillani Philosophy mein PhD ki ajazi degri di gayi. 1997 mein National Assembly ke intakhabat mein Muslim league (N) ke umedwar se shikasht khai 11 Febuary 2001 ko Musharraf daur mein santral jail Rawalpindi mein pehlay naib refrans mein Jodeshnal rimand par moqid kar diya gaya ilzam yeh tha ke app ne bahaisiat spekar Qaumi Assembly akhtariat se tajawuz kart ay hua 600 na ahal logon ko molazmat di jis se hukumat Pakistan ko 30 milian salanh nuqsan huwa 8 June 2002 ko ahtasab adalat ne 5 sal qaid ba moshaqt aur 10 lakh jurmanah ki saza sunai.

1993 mein chouthi bar Qaumi Assembly ke rukun aur Qaumi Assembly ke speaker . 18 September 2004 mein Syed Yousuf Raza Gilani ko akhtaiyarat ke galt istamal karne ke ilzam mein naib ne refrans dair kia Rawalpindi ki ahtasab adalat ne Qaumi Assembly sikratriat mein 300 molazmin gair qanoni taur par bharti karne ke ilzam mein 10 saal qaid ba moshaqat ki aur 10 Caror rupay jurmanah basurata adam adagi panch saal mazeed qaid ki saza sunai dauran qaid o band behan aur waldah ki wafat ki khabar mili iss khabar gam ka zikar kar huye syed Yousuf Raza Gillani khud likjtay hain ke“ 21 Ramzan ul mubarrak ko aftari ke waqt meray pass deputy superintendent jail Sheikh Ajaz aaye aur itla di ke meri waldah iss dar fani se kouch kar gayein hain Inna lillahi wa Inna Ilaihay Rajioon behan ke sadmay ke baad mujhay waldah ka itna bara sadmah uthana para jo meray lia bardasht karna khasa mushkil tah keonkay mujhay moshkil tarin halat mein bhi maa ki duayon per bharosah aur asra tha mujhay hukumat ne parule par Multan janay ki ajazat de di main Multan gaya to isi roz Nashtar ground mein Namaz janazah ada ki gayi mein ne dosray hi roz unki qul khani ka ahtamam kia takay zaidah dair ruk kar ahsan na uthaun isi din Wazir Aala Punjab Parvez Elahi ne telephone kar ke pash kash ki ke app ziadah din ruk jayein is par mein nai kaha ke mari waldah ki qul qhani ho chuki hai lahza qulkhani ke aglay roz mein wapis central jail Adiala, Rawalpindi aagaya Allah Tala ne meri duwa qabool kar li ke mujhe waldah ka akhri didar nasib huwa aur mein unki Namaz Janazah aur Quran khani mein bhi shireek huwa warnah mein apnay app ko badnaseeb tasauar karta.

2006 mein syed Yousuf Raza Gilani ko reha kar diya gaya Yousuf Raza Gillani ki Apnay Khandan ki kahani khud unki zabani Meray walid Makhdoom syed Alamdar Husain Gillani , Makhdoom syed Gulam Mustafa Shah Gillani ke baitay thai aur Pir syed Mohammad Sadruddin Shah Gilani Rehmatullah alaihai ke potai tahi Pir Sadruddin shah Hazrat Pir syed Wilait Hussain Shah Gillani rehmatullah alaihai ke Farzand Arjumand aur sajjadah nashin tahy app ka shajrah nasab Hazrat syed Abulhasan Jamaludin Al Maruf Moosa Pak Shaheed Rahmatullah Alaih sey ja milta hai.

Hazrat Moosa pak shaheed Rahmatullah alaihai Hazrat Ganj Baksh Gilani RA ke baitay tahi Hazrat syed Hamid Ganj Baksh Gillani ke walid syed Abdul razaq shah Gilani Rahmatullah Alaih dada Hazrat syed Abdul Qadir sani Rahmatulllah alaihai aur par dada Hazrat Hazrat syed Shaikh bandage Mohammed Gos Gillani Hlabi Uchi Rahmatullah Alaih thay jokay Hazrat syed Shaikh Shamsuddin Jilani Halbi RA ke akloutay farzand thay syed Bandagi Mohammad gos Gillani Halbi Ochi Rahmatullah Alaih Sham se hijrat kar ke Och tashrif lay aia aur Shama Rushd o haidaiat roshan ki jis ki roshni Barrai Sagair mein phail gai unka shajrah nasab nawin pusht mein Qadriah silsilah ke Awalin buzurg Shakih Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alaih se ja milta hai.

Hazrat Musa Pak Shaheed Rahmatullah Alihai ka mazar shar e Faisal ke janubi dissai mein waqa hai jis darwazai se jasd mobarrak ko shahar ke andar layi jaia gaia woh pak darwazah ke naam se mashhur ho gaya hai aur iss waqt isi naam se mousoom kiya gaya hai .