Ashfaq Ahmed Biography in Urdu

Ashfaq Ahmed was born on 22 August 1925 in Ferozpur. He was a Writer, Playwright, Broadcaster, Intellectual and Spiritualist. He completed his M.A. from Govt.College Lahore. He earned diplomas in the Italian and French languages from the University of Rome and the University of Grenoble, France. He also gained a training diploma in broadcasting from Newyork University. Ashfaq Ahmed died of Pancreatic cancer on September 7, 2004 in Urdu.

Ashfaq Ahmed Biography In Urdu

Urdu ke nabgha afsana nigar, drama nigar aur nasar nigar Ashfaq Ahmed 22 August 1925 ko zila Ferozpur mein Dr. Muhammad Khan ke han peda hue. Govt. College Lahore se ap ne M.A. kiya, Italy ki Rome University aur Grenoble University France se Italian aur Francesi zubaan mein diploma kiye. aur Newyork University se broadcasting ki khusosi tarbiyat hasil ki. unho ne Deyal Singh College Lahore mein do saal tak Urdu ke Lecturar ke tor par kaam kiya aur bad mein Rome University mein Urdu ke ustaad muqarrar ho gae. Watan wapsi aa kar unho ne Adbi Mujalla go dastaan jari kiya, jo Urdu ke Offist tabaat mein chapne wale ibtedai risalon mein shumar kiya jata hai. Unho ne do saal haft roza Lel-o-Nahar ki adarat bhi ki.

Wo 1967 mein markazi Urdu board ke director muqarrar hue. Jo bad mein Urdu Science board mein tabdeel ho gaya. Wo 1989 tak is idarey se wabasta rahe. Wo sadar general Zia-ul-Haq ke daur mein Wafaqi Wazarat-e-Taleem ke musheer bhi muqarrar hue. Ashfaq Ahmed un naamwar adeebon mein shamil hai, jo qeyam-e- Pakistan ke forun bad adbi ufaq par numaya hue. 1953 mein in ka afsana Gadaria in ki shohrat ka baiys bana. Unho ne Urdu mein Punjabi alfaz ka takhleeqi tor par istemaal kiya aur ek khobsurat shagufta nasar eijaad ki, jo inhe ka wasaf samjhi jati hai. Urdu adab mein kahani likhne ke fun par Ashfaq Ahmed ko jitna aboor tha, wo kam logon ke hisse mein aya.

Ek mohabbat sau afsane aur ujle phool in ke ibtedai afsanon ke majmoey hai. Bad mein safar dar safar ( safarnama ), khel kahani ( novel ), aik mohabbat so afsanay drama ( drama ) aut tota kahani ( drame ) in ki numaya tasaneef ban kar samne aae. 1965 se unho ne Radio Pakistan Lahore par ek hafta war feature program Talqeen Shah ke naam se karna shuru kiya.jo apni makhsoos tarz-e-mazah aur do maeyne guftugo ke baiys maqbool aam hua aur 30 saal se ziyada arsey tak chalta raha.
60 ki dehai mein Ashfaq Ahmed ne Dhoop aur Saey ke naam se ek nae feature film banai, jis ke geet mashoor shaeyr Muneer Niyazi ne likhe aur Tufail Niyazi ne is ki mauseeqi tarteeb di thi. Adakar Qaumi Khan is mein pehli martaba Hero ke tor par aae the. Umdah kahani, mauseeqi aur kirdar nigari ke bawajood film box office par na kamiyab ho gai.

70 ki dehai ke shuro mein Ashfaq Ahmed ne muasharti aur romani muzoaat par ek mohabbat sau afsane ke naam se ek drama series likhi aur isi ki dehai mein in ki series tota kahani aur manchale ka sauda nashar hui. Tota kahani aur manchale ka sauda mein wo tasoof ki tarha maeyl nazar aae aur is baat ko le kar un par khasi tanqeed ki gae. Ashfaq Ahmed apne dramon mein plot se ziyada mukalmey par zoor dete the aur un ke kiradar taweel guftugo karte the. Kuch arsey tak wo Pakistan Television par zawiya ke naam se ek program karte rahe, jis mein wo apne makhsoos andaaz mein qisse aur kahaniyan sunate the.

Jigar ki rasoli ki wajah se 7 september 2004 ke roz in ka inteqaal hua. Urdu ke do naamwar adeeb Mumtaz Mufti aur Qudrat-ullah Shahab, Ashfaq Ahmed ke khas doston mein shamil the. Unho ne apne pasmandigaan mein ek bewah Bano qudsiya aur teen bete chore hai. Raja gidh novel ki khaliq Bano Qudsiya Urdu ki maroof adeeba hai. Ashfaq Ahmed ne apne kaam ke hawale se jahan dunya bhar se daad sameti, wahe ek makhsoos halqe ki taraf se in par khasi tanqeed bhi hui. Is ke bawajood aane wale zamane mein jab bhi in ka naam liya jae. Ek munfarid afsana nigar, ek be-badal nasar nigar aur ek mutabar danishwar ke tor par liya jaega.