Asma Jahangir Biography in Urdu
The famous Pakistani Lawyer, advocate in Supreme Court and social worker. Asma Jahangir was born on 27 January 1952. His father Ghulam Jilani was a scientist. Asma Jahangir is working for humans rights. In 1978, she got its LLB degree. Asma Jahangir is the great women helper. She also awarded Human Rights Martin Ennels in 1995. Asma Jahangir writes the article for the women and child. Here you find complete Asma Jahangir Biography in Urdu.
Asma Jahangir Biography In Urdu
Maroof qanoon dan aur azadi-e-niswan-o-insani haqooq ki alamberdar Asma Jahangir 27 January 1952 ko Lahore mein paida hue in key walid Malik Ghulam Jilani maroof siasat dan they apnay 1968 mein Senior Cambridge kerney key bad 1969 mein kanier college Lahore mein dakhla lea Sadar Ayub key khelaf Awami tahrek uthi to unhon ney bhi college ki talbat ka aik jaloos nikala aur is ski qaiadat ki jis kipadasht mein unhain chand mah key leyeh college sey nikal dea gea issi college sey BA ki degree hasil ki.
1972 mein Asma Jahangir ka nam mulk ger shohrat hasil ker gea keonkey iss waqt un key walid Malik Ghulam Jilani ke hibse beaja key khelaf un ki patishion par faisla detey huae Supreem court ney Chief Marshallah Aid Ministrater Jeneral Yehya Khan ko “ Ghasib” qarar dea tha Pakistan ki tarekh aur qanoon ki ketabon mein moqadma “ Asma Jilani case” key nam sey mashhoor hua.
LLB Degree
Asma Jahangir 1978 mein LLB ki degree hasil kerney key bad buniadi insani haqooq aur tahaffuz nuswan key lea 1980 mein apni jaddo jahad ka agaz kea Punjab Women Lowers asosi aishion qaiam ki. idr ap Asma Jahangir Biography in Urdu me jaan skty hai.
Women Action Forum
Asma Jahangir Women Action Forum ki majlis e amla ki rukun, Bar Asosi aishion ki majlis ki rukun Sudni Austerlia ki tanzem “ Law Asia” ki council ki rukun hain 1985 mein Women and di law key mozu par munaqda Inter national Women Laws conference ki afser rabta rahain
Defence For Children International
Asma Jahangir na 1986 ta 1988 Janewa ki Almi tanzeem “Defence For children International” ki naieb Sadar hain elawa azeen Ashia pasfik form barae khawateen o qanoon o taraqqi ki rukun bainul aqwami merkez barae insani haqooq o jamhuriat Canada ki Director , aur Punjab bar council ki majlis e amla ki bhi rukun rahain fil waqt app insani haqooq kamishion Pakistan ki Sadar hain.
Yon to Asma jahangir ki puri zindagi hi amriaat aur insani haqooq ki khelaf warzion key khelaf jado jehad kernay se ebarat hai aur unki khidmata ka kae bainul aqwami sithat par eteraf bhi kea ja chukka hay lakin un ka taza tareen karnama November 2007 se March 2009 tak General Pervez Musharraf ki amriat ke khelaf aur bad-e-azan Chief Justics of Pakistan Iftikhar Muhammed Choudhry ki bahali ke haq mein chalae janey wali tahreek mein unka numaya hissa hai iss tehreek mein unki bher pure karkerdagi ka eteraf tamam halqon ki taraf se kea gea magar Chief Justice key haq mein tehreek chalaney ka matleb yea nahin tha key Iftikhar Muhammed Choudhry un key kea kisi “ Moqaddas Gae’ ki hasiat ekhtaiar ker jatey yahi waja hay key jab Supreme Court key ful Bench ki taref dey badnama e zamana NRO key khelaf mukhteser faisla jari kea gea to iss faislay key baz nikat par apney tahaffuz ka izhar ker tey huea unhon ney iss par tanqeed bhi ki.
Asma Jahangir 1995 mein Sadar mumliket ki janib sey “Sitara-e-Imtiaz” key elawah sola qaumi azazat hasil ker chuki hain elawah azeen kae baeruni mumalik key imteazi inteazi award sey bhi nawaza gea.
Asma Jahangir 1995 mein unhain haqooq insani key tahaffuz ka marton Aenelz Award dea gea issi sal unhain “ Awam ki khidmet key azeem jazbea ka mozahra “ ker ney par Mag Sa Sey nawaza gea.
2001 mein unhain Aqwam e Muttahida ke tarqiati fund barae khawateeen ki taraf se Millennium Prize yani “ hazarey ke Inam “ se nawaza gea.
2002 mein Asma Jahangir ko Lisl and Leo Eitinger Prize mila. Jabkey 2005 mein unhain “ Women for Peace” project ki 1000 shorka ke sath peace ke Nobel Peace Prize ke lea namzed kea geya.
Bachion ki moshaqqat, begari, unki jabri molazmat, tahreek nuswan key mozu par un ke moqalat shae hotey rehte hain. Asma Jahangir ki do kitabain Angreazi zaban mein shaea ho chuki hain jin ka mozu hadud ordenence aur bachchon ki jabri moshaqqat hay.