Ibn-e-Safi Biography in Urdu
Ibn-e-Safi was born on 26 July 1928 in Illahbad ( India ). His real name is Israr Ahmed. He received the degree of B.A. from Aagra University. He is a best selling and renowned Novelist and Poet of Urdu. He diagnosed Cancer and died on 26 July 1980.
Ibne Safi Biography In Urdu
Pakistan ki adbi tareekh mein jasoosi adab ke wahid saqa aur mutabar musannif ibn-e-safi muttehda Hindustan ke shehar Illahbad (Uttar Pardesh) mein 26 july 1928 ko paida hue. In ka asal naam Israr Ahmed tha. BA ki degree aap ne Aagra University se hasil ki. Inho ne apne likhna ka aaghaz 1940 mein afsane aur tanz-o-mazah likhne se kiya aur narvi takhallus ikhteyar kiya. Phir inho ne 1950 main novel nigari shuru ki. Us waqt wo secondary school teacher ki hesiyat se kaam kar rahe the. Azaadi se pehle aur bad main apni huriyat pasand tabiyat ke baiys hukoomat ki nazron mein aa chuke the. Is liye 1952 main aap Karachi muntaqil ho gae.
Ibn-e-Safi ne jasoosi novel nigari kisi sahab ke is dawey kw bad ki thi ke bar-e-saghir mein jasoosi novel sirf fahesh nigari ki wajah se maqbool hai. Inho ne use ghalat sabit karne ke liye pehle jasoosi dunya aur phir Imran series shuru ki. Ibne Safi ke baqol, in ke sirf 8 novelon ke markazi khayal kisi aur se mustaar liye hai, baqi ke 245 novel mukammal tor par in ke apne hai. 1960 se 1963 tak aap aik zehni bemari shez-o-fareniya ke mareez rahe. Lekin 1963 main he is marz se na sirf sanbhala liya bal ke Imran series ka behtreen novel derh matwale bhi likha.
26 July 1980 ko ( yani apni salgirah ke din ) wo is jahan se rukhsat ho gae. Wajah inteqal mauzi marz Cancer tha. Janab Ibn-e-Safi bilashuba Urdu ke sab se barhe jasoosi novel nigar hai aur in ki tehreeron mein aesa jadoo hai ke 50 saal likhe gae novel jab aaj ke daur ka bhi insaan parhta hai to wo sab bhool jata hai. Ibn-e-Safi ka lagaya hua pauda Imran series is qadar tanawar hua ke aaj tak yah samarbaar hai aur kae aik musannifeen is silsile ko aage barha rahe hai.
Professor Dr. Syed Muhammad Abu Alkhair Kashfi ne Ibn-e-Safi ko yun khiraj-e-tehseen pesh kiya. “ Maine ne kabhi Ibn-e-Safi ke novelon ko kitabon ke darmiyan chupa kar nahi rakha. Hamare intellectual ise aik sub standard mawad gardantey hai, lekin un mein se koi bhi Ibn-e-Safi ke takhleeqi zehan ka muqabla nahi kar sakta. Koi mujh se pochta hai ke aap Ibn-e-Safi ke novel kyun parhte hai to main jawab deta hoon, kyun ke Ibn-e-Safi hamare kae novel nigaron se behtar zuban likhte hai.” Jab Muhammad Hasan Askari ne ye shikayat ki ke Urdu nasar ka fun zawal pazeer hai aur koi achi zuban nahi likh raha to main ne unhe Ibn-e-Safi ki jasoosi Dunya ka aik novel parhne ko diya, is ke bad wo har maah pochte the. “ Kashfi Sahab Ibn-e-Safi ka naya novel aa gaya? ”
1977 ke aam intekhabaat ke dauran in ke aik novel Dr. Dua go ko Pakistan Television ne tele film ki hesiyat se picturize kiya tha. Mashoor adakar Qivi khan ne is mein Imran ka kirdar ada kiya tha. Lekin kuch siyasi uljhano ki wajah se nazreen ye tele film dekhne se mehroom rahe. Roznama jang ne apni 18 october 1979 ki ashaat mein ye khabar shaey ki. “ ye jumlah bar bar sunne mein ata hai ke falan falan musannif ko TV ne black list kar diya, lekin kisi musannif ne TV ko black list kar diya ho ye ajeeb bat hai. Ibn-e-Safi ka kehna hai ke wo us waqt tak TV ke kisi program main hissa nahi lenge, jab tak bataya na jae ke in ke novel Dr. Dua Go ko Tele cast kyun nahi kiya gaya? ”
Wo Pakistan ke wahid jasoosi musannif the, jin ke kaam ko ben-ul-aqwami satah par is had tak imtiaz-o-shohrat hasil hui ke aik martaba jasoosi novelon ki malka kehlane wali mashoor maroof musannifa Agatha Christie ne kaha: “ Main Urdu nahi janti magar bar-e-sagheer ke jasoosi novelon se mujhe waqfiyat hasil hai. In mein asli chez likhne wala musannif sirf Ibn-e-Safi hai. ”
Ibn-e-Safi ke fun aur in ki takhleeqi salahiyat ko is se barha khiraj-e-tehseen na koi aur pesh kiya ja sakta hai aur na mere khayal mein is ke bad kisi aur tareef ki koi zaroorat baqi rehti hai. Ibn e Safi 26 July 1980 ko inteqal kargaye.