Muhammad Rafiq Tarar Biography in Urdu

Muhammad Rafiq Tarar was born in Gujranwala on 2 November 1929. Muhammad Rafiq Tarar did his L.L.B in 1955 from Punjab University. In 1991, he became the Judge of Supreme court of Pakistan.in 1997 Muhammad Rafiq Tarar became senator on the ticket of Pakistan Muslim League (N). On 31 December 1997, Muhammad Rafiq Tarar became President of Pakistan. Muhammad Rafiq Tarar was the oldest President of Pakistan. On 29 July 2001, General Pervaz Musharaf free him from the Presidentship of Pakistan. In this page, you will read Rafiq Tarar Biography In Urdu.

Rafiq Tarar Biography

Islami Jamhuriya e Pakistan ke Sabiq Sadar e Pakistan Justice (retired) Muhammad Rafiq Tarar 2 November 1929 ko Ghakhar mandi Zila Gungranwala Tehsil Wazirabad ke gouon Pera Kot mein paida hoye. Rafiq Ahmad Tarar ke walid ka naam Chohdri Sardar Khan Tarar tha. 1945 mein Islamiya high school Gungran Wala se matric kiya. 1947 mein Guru Nanak Khalsa college (mujudah Islamiya college) se F.S.C aur graduation kiya. 1951 mein Punjab University se L.L.B kiya. 1955 mein Gungran Wala mein practice shoro kardi. October 1966 mein Chohdri Muhammad Anwar Bhander speaker Maghribi Pakistan ne Governor Maghribi Pakistan Nawab of Kala Bhag Malik Ameer Muhammad Khan ko sifarish kar ke unhen additional Section Judge muqarar kar deya. 1970 mein Chairman Punjab labor Court bane. 1974 mein high court ke Judge bane. 1989 mein Chief Justice High Court muqarar hoye. 1990 mein Khuwaja Tariq Rahim ne Benazir ki hukumat ki bahali ke leye darkhuasat dayer ki jo Chief Justice Muhammad Rafiq Tarar ne mustarad kardi.

January 1991 mein Supreme Court ke Judge bana deye gaye. May 1993 mein Supreme Court ke 11 rukni bench ne Nawaz Sharif ki hukumat ko bahal kar deya. Ye us bench mein shamil the. Chief of Army General Asif Nawaz Jijuwa ki muat ki tehqiqati commotion mein shamil the jis ke sarbarah Justice Saif ur Rehman the. Us commotion ne General Asif Nawaz Jinjuwa ki muat ko fitri qarar diya jab ke bad mein ye baat sabit hoi ke unhen zahar deya gaya tha. August 1994 mein High Court ne Muhammad Nawaz Sharif ki 3 factories seal aur 14 par Excise ka imla mutayan kar deya. Is fasle ko unhon ne kaladam qarar de deya. 31 October 1994 mein wo Supreme Court ke Judge ki hasiyat se retired ho gaye.

1997 mein wo Muslim League Ke ticket par Senator bane. 15 December 1997 ki sham thi jab Juhar Town Lahore mein Justice (r) Rafiq Tarar ki rehaish ghah par bar bar phone ki ghanti bajne lagi. Wazir e Azam house ke ehelkar un ki talash mein the. Ghar walon ko itna pata tha ke wo dopehar ko Mulana Ameen Ahsan Islahi ke janaze mein shirkat ke leye Defense gaye the. Bila akhir unhen Defense mein apne azizon ke han “talash” kar leya gaya aur wo raat ko aam parwaz se Islamabad rawana ho gaye jahan Wazir e Azam ne unhen sadarti umeedwar ke tar par unki naamzadgi ki ittla de gayi. Kuch dear herat zadah rehne ke bad unhon ne ye peshkash qabool kar li.

18 December 1997 ko ayein ke article (G) 63-1 ke tehat qayam muqam Chief Election Commissioner Justice Mukhtar Ahmed Junejo ne unhen na ehel qarar dete hoye khazat e naamzadgi mustarad kar deye kyun ke un par ilzam tha ke 27 June 1996 ko haft rozah jaridah “Takbeer” Karachi ko aik interview dete hoye Fakhar un Nisa Judge Lahore High Court par badunwani ke ilzamat legaye aur nizam e adal par baat cheet karte hoye kaha ke “nizam e adal ki bunyadi kharabi ye hai ken a to ise Islami nizam e adal ke usolon par istawar kiya gaya aur na hi angreez ke nizam e adal ki khubiyon se arastah rehne deye gaya.Ate jate hukumranon ne adliya ko apne maqasid ke leye istemal karna chaha. Arzi aur juzwaqti mafadat ke leye mun zor intezamiya hamesha adalti waqar se khelti rahi. Jis tarha burro curacy mein apne hawari paida keye gaye isi tarha adliya mein ye sab se bari badqismati rahi hai. Phele adwar mein isi tarha hota tha ke agar 6 Judge leye gaye hain to in mein se aki adh Judge aesa ajata tha jis ki hamdardiyan ya wabastagiyan hoti thein. Mazi ke tajurbat bataye hain ke ye Judge bhi jab masnad e adalat par beth jata tha to amomi muhall ki waja se is ki zaheni kefiyat phele jesi nahi rehti thi aur neek naami ki khatir adala o insaf se nahi khelta tha.

Munasib tadat mein deyanatdar, bakirdar aur khuaf e khuda rakhne wale Judges ki kami hamesh hi aik masla rahi hai lekin aj kal jo kuch ho raha hai I sne pore nizam e adal ki choleinholadi hain aur awam ka etemad adalaton se uthta jar aha hai. Asal baat ye hai ke intezamiya kis tarha Judges ko le kar ati ha. Mere khayal mein to sedha sadah pemana hai. Agar kisi Judge ki taqaruri par woqla ki anjumanon, qumi akhbaraat ke sahafiyon aur bakhbar logon ko kisi tarha ka tajub uar heart na ho to wo shkhs theek hai lekin agar kisi shakhs ke taqarur par bar association ke dafatir mein qehqaye gunjane lagein, sahafi aur bakhabar log heart se aik dosre ka mun dekhne lagen hata ke aam log bhi cha magoyan karne lagein to aesa Judge yaqenan mayar par pora nahi utarta aur wo munsif bane ka ehel nahi. Is tarha ki taqarariyon aur intezamiya ke mafad parastana iqdat ne adliya ke idare ko shaded nuqsan phochya hai aur aaj halat ye ho chuki hai ke adalaton ke eyanon mein aesi awazein aur sazishein nazar aney lagi hain jo aam kisim ke sarkari daftaron ka khasa hoti hain.”

19 December 1997 ko Justices Malik Muhammad Qayum Lahore High Court ne is fesle ko muatal kar ke unhen election larne ijazit de di. 20 December 1997 ko un ka naam Sadarti intakhabi fehristmein shamil kar leya gaya. Logon ne inwa o iqsam ki baatein kein. 31 December 1997 ko Sadar e Pakistan ban gaye. 1 Junuary 1998 ko Janab Justice Muhammad Rafiq Tarar bila akhir Pakistan ke Sadar ban gaye. Sadar e Mumlikat ke uhde ke leye wifaqi dar ul hukumat aur charon subon mein hone wale election mein Pakistan Muslim League aur itehadi jamaton ke mutafiqa umeedwar Justice (r) Muhammad Rafiq Tarar bhari aksariyat se Sadar mutakhib ho gaye. Muliki tarikh mein unhon ne apne harefon par record bartari hasil ki. Mulik bhar mein dale gaye majmuye 457 votes mein se Justice (r) Muhammad Rafiq Tarar ne 374 votes hasil kiye jab ke in ke qaribi harif Peoples Party ke umeedwar Shaban Merrani ne 58 aur Jamiyat e Ulma e Islam (f) ke Mulana Muhammad Khan Sherani ne 22 votes hasil kiye.

Punjab aur sarhad assembly mein Justice (r) Muhammad Rafiq Tarar ko takriban baraber vote mile jab ke Sindh assembly aur Blochistan assembly mein bhi un ki bartari rahi. Choron subon ke arkan e qomi assembly o senate ne Justice (r) Muhammad Rafiq Tarar par apne bharpor etamad ka izhar kiya aur in ke qareeb tareen harif bhi un se bohat peche rahe.

Punjab assembly ke 247 arkan mein se 243 ne Sadarti intakhab ke leye apna haq e raidahi istamal kiya. 243 arkan mein se 235 ne Justice (r) Muhammad Rafiq Tarar, 3 ne Aftab Shaban Merrani aur 2 ne Mulana Muhammad Khan Sherrani ko vote deya. 3 vote mustarad kar deye gaye. Jin arkan ne apna haq e raidahi istamal nahi kiya in mein Mulana Azam Tariq, Owees Laghari, Raja Khalid aur AmanAbbasi shamil han. Yad rahe assembly ki aik nashist abhi khali thi. Suba e Sarhad se Justice (r) Muhammad Rafiq Tarar bhari aksariyat se kamiyab hoye. Justice (r) Muhammad Rafiq Tarar ko kul 83 votes mein se poll hone wale 82 votes mein se 69 vote mile jo ke Sarhad assembly ke kul 43 number ke hisab se 35.19 number the. Mulana Muhammad Khan Sherani ke 4.8 number aur Aftab Shaban Merrani ke 2.4 number rahe. Sabiq wazir aur sazrhad assembly ke azad rukun Habib ulllah Kundi ka aik vote zaya ho gaya jab ke Thereek e Insaf ke subai sadar Nawab Zadah Mohsin Khan ne vote poll nahi kiya.

Blochistan Subai assembly ke 43 member’s mein se 38 ne apna haq e raidahi istamal kiya. Aik vote mustarad hoa baqi 37 votes mein se 26 Muslim Laegue aur itehadi jamaton ke umeedwar Justice (r) Muhammad Rafiq Tarar ko mile. Nine vote Mulana Muhammad Khan Sherani ko aur 2 vote Aftab Shaban Merrani ko mile. 12 October 1999 ko Nawza Sharif hukumat ka takhta ulat kar Chief of Army Staff General Parveez Musharaf Chief Executive ban gaye aur Muhammad Rafiq Tarar ko badastor Sadar rehne diya. Muhammad Rafiq Tarar ne Nawaz Sharif ki jila watni tak bara aham kardar ada kiya. Is ke bad 20 June 2001 ko General Parvez Musharraf ne unhen bhi Sadar e Pakistan ke uhde se farigh kar diya aur khud Sadar e Mumlikat ke uhde par faiz ho gaye.