Amjad sabri

Amjad Sabri-Biography in Urdu

Amjad sabri ek khush mizaaj, shaista or Qabil fankar thy. Saari zindagi ap ny “hamd”, “naat” or “manqabat” parhi, Allah ky Rasool ka naam liya or istaraha shohrat hasil ki. Amjad sabri  23 december 1970 ko Karachi k ilaaiqy Liaqatabad ky Qawal mohalla mein paida hue. Ap ny 9 saal ki umar mein apny walid se Qawali ka fun seekhna shuru kiya thaa aur 12 saal ki umar mein 1988 mein pehli baar stage par perform kiya tha.Amjad ka taluq maroof “qawal sabri” khandan se thaa aur wo Ghulam fareed sabri ky sahibzaady thy. Maqbool sabri or ghulam fareed sabri ny puri dunya mein qawali ko mutaaruf krwaya aur sufyana guftgu mein numaiya maqam hasil kia. Dono bhaiyon ny Pakistani films k liye qawalian bhi gaayi. Unho ny pehli film ki qawali “mera koi nh he tery siwa”, 1965 mein film “Ishq-e-habib” k liye gaayi thi.

Amjad ny gurbat mein apny career ka aghaaz kiya, or phr wo gareebon ka cherisher ban gya. Lekin jab inho ny gaaya toh ap ny danish mandi se apny walid ki awaaz naqal ki. Shayari ki dunya mein, unka apna bohat qam kaam he, Amjad zyada tar apny walid k kalmat parhty thy. Ab ye khush Qismati ki baat he k inhy apny walid or chacha se zyada shohrat or khush qismati naseeb hui. Wo kisi bhi firqy se wabasta nh thy. Ap ka fun sab k liye aqeedat ka baaiz thaa.Inki shaksyat mein ek kashish thi ky har ek ko insy pyaar hogya. Jab libaas ki baat ayi toh inhon ny qadeemat parasti ko bhi tarakh kardia. Inhony jeans or kurta bhi pehna tha aur qawal party ka riwayiti libaas bhi pehna tha. Pakistani hukoomat ny apko “Pride of perfomnce or Sitara e Imtiaz” se nawaza.

Amjad-Sabri

Sabri bhai fankar thy, aur ye inky fun ki ek herat ki baat he k inho ny na sirf Hamd, Naat, or manqabat parhy balky syaasi Qawalion or filmy gaanon ky medaan mein bhi umdaa kargardagi ka muzahira kiya.Ghulam fareed sabri aur maqbool sabri ky Intaqal k baad amjad sabri ny iss khandani fun ko mazeed Taraqi de. Wo ghulam fareed k paanj(5) beton mein se teesra(3rd) thy.

1996 mein inho ny Apni party banai aur apny doston or bhaiyon ko, bator member shaamil kiya. 1997 mein “Oreintal star agencies” ny Apna pehla album “Balaaghal olaa be kamal he” ky naam se jari kiya. Unho ny dunya ky mukhtalif mumalik jesy ky United states,United kingdom or Canada mein bhi apny fun kaa muzahira kiya. Amjad sabri Muhammad(S.A.W.W)  or Aal-e-Muhammad ky bohat bady aashiq thy. Isi muhabbat mein aap ek Khoobsoorat manqabat “Main Qabar andheri mein ghabraonga jab tanha” chodd gye.

Amjad sabri apni umda awaaz or Infraadiyat ki waja se puri dunya mein maqbooliyat hasil krny mein Kamyab hue thy aur hindustan mein bhi log unky deewany thy. Amjad ny qawali ky medaan mein Qawali ko maqbool banany k liye naye tajurbaat mutaarif kraye aur issy bidat k sath pesh kiya. Unki ek mashahoor Qawali apny walid aur chacha ki Qawali “Taaj-daar-e-haram” Ko ek naye andaaz mein gaana thaa, Jo bohat maqbool hui. Unki ek aur mashahoor Qawali “Bhar do jholi” thi, jissy inky walid or chacha ny insy pehly gaaya tha. Amjad ki ek aur mashahoor Qawali thi “Mera koi nahi tere siwa” Iss tarah “khuwaja diwani” bhi logon mein bohat mashahoor thi.

Liaquatabad town, Karachi mein, inhy 22 june, 2016 ko 2 musalaha motorcycle sawaron ny firing kar ky halak kar diya tha.  Hazaaron afraad ny iski akhri rasoomat mein shirkat ki. Inhy paposh nagar Qabristan mein pir hairat shah warsi k maqbary mein daffan kiya gya. Beshak pakistan ki tareekh amjad sabri jesi sureli awaaz se mehroom hogyi.