Karachi Biography in Urdu

Karachi is the largest seaport City in the Pakistan situated near the Arabian Sea. It has a population of more than 1 Million. Karachi City was named after kolachi tribes as kolachi jo goth. It is a very beautiful and successful City. Many Seasides, Huge Buildings, Parks, Shopping Malls and enjoyment Place in Karachi. In this page you will read Karachi In Urdua and Roma Urdu.

Karachi Biography In Urdu

Pakistan ka sab se barha bandargahi shehar Karachi 1800 murabba kilo meter raqbe par phela hua Bahria Arab ke kinare waqeya hai. Is ki falak bos imarten sayyahon ki dilchaspi ka baiys hain. Shehar ki aabadi 2 crore se tajawuz kar chuki hai. Super highway ke zariye ye Hyderabad aur RCD Shahrae ke zariye Quetta se marboot hai. Intezami aitebar se shehar ko panch zilon Mashraqi, Wasti, Junubi, Ghurubi aur Maleer mein taqseem kiya gaya hai.

Zamana-e-qadeem mein ye Kolachi Jo Goth ke naam se mashoor tha. Zamane ki rawish ne ise Karachi bana diya. 1947 mein Hazrat Quaid-e-Azam ne ise Pakistan ka sadar moqam qarar diya. 1959 mein sabiq sadar Field Marshall Muhammed Ayub Khan ne darul hukoomat Karachi ke bajae Islamabad muntaqil kar diya.

QABIL-E-DEED MAQAMAT

(TOMB OF QUAID-E-AZAM):

Quaid-e-Azam ka mazar M.A.Jinnah road par waqeya hai. Yeh jadeed tarz ka hai. Sang-e-mar mar se tameer kiye gaey is mazar ke gunmbad ke gird sang-e-mar mar ka farsh bhi hai jo zameen se khasi bulandi par hai. Mazar ka design Yahya Merchant ne tayyar kiya. Mazar ke andar humsaya mulk China ka tohfa fanoos ki shakal mein aawezaan hai. Mazar ke aahatey ke andar tehreek-e-Pakistan ke rehnumaon Mohtarma Fatima Jinnah, Nawabzada Liaquat Ali Khan ki qabrein bhi hain. Bagh-e-Jinnah 2002 mein banaya gaya, is ka iftetah sabiq Sadar-e-Pakistan General Parvez Musharraf ne kiya tha.

MOSQUE OF DEFENCE SOCIETY:

Ise Masjid-e-Tooba bhi kehte hain. Is ka shumar Pakistan ki khobsurat Masajid mein hota hai. Is ka gunmbad 212 ft qatar mein hai.

BUILDING OF HABIB BANK PLAZA:

Is ka shumar Karachi ki buland tareen imarton mein kiya jata hai. 23 manzila ye imarat 99 meter 324 ft buland hai. Yeh Karachi ke waqar ki sarbulandi ki alamat khayal ki jati hai. Royat-e-hilal ke arkaan Chand dekhne is ki chat par chalen jate hain.
Aur bhi deegar imarten hain, Civic Centre, Impress Market ki imarat, New Memon Masjid, Manorha ka Light House, ye 148 ft buland hai aur yeh Karachi ki bandargaah mein dakhil hone wale jahazon ko roshni faraham karta hai.

FAMOUS ROAD OF KARACHI:

M.A.Jinnah Road, Shahrae Faisal, Shahrae Liaquat, I.I.Chundrigar Road, Nashtar Road, S.M.Taufeeq Road aur Shahrae Pakistan shamil hain.

SUCCESS OF EDUCATION:

Karachi aehl-e-ilm ka shehar hai, shehar mein Hamdard Medical University, Karachi University, Dow Medical University, Baqai University, Baba-e-Urdu University, Medical and Dental College aeham taleemi idarey hain.

LIBRARIES:

Karachi mein barhe barhe Kutub khane bhi hain, in mein Public Library, National Museum Library, Liaquat National Library waghera shamil hain.

HOTELS:

Karachi mein sayyahon ki rehaiysh ke liye benul aqwami meyar ke hotel bhi qaiym kiye gaey hain. In mein Pearl Continental, Metro pole, Beach Luxury, Jabees, Awari Tower, Columbus, Imperial, Mehran and Holiday qabil-e-zikar hain.

SHOPPING CENTRE:

Sadar bazar, Liaquatabad, Impress Market, Bohri Bazar, Zeb-un-nisa Street, Lee Market, Abdullah Haroon Road, Jubilee Market, Jodia Bazar, Khajoor Bazar, Sarafa Bazar aur Tariq Road waghera.

CANTONMENT RAILWAY STATION:

Karachi bazarya Railway line mulk bhar se marboot hai. Shehar mein do barhe stations hain. Yeh dono barhe railway stations shehar ke junubi hisse mein aik dosre se taqreeban 1.5 meel ki doori par hain. Androon-e-shehar circular railway line bhi hai jis par 29 railway stations hain.

AIRPORT:

Jinnah International Airport bohut barha ben ul aqwami hawai adda hai. Yahan se aap dunya ke kisi bhi maqam par ja sakte hain.

TRANSPORT:

Androon-e-shehar safar ke liye senkron Buses, Mini Buses, Taxiyan, Auto Rikshaw aur Private Garhiyan, Motor Cycles bhi istemaal ki jati hain.

PLAY GROUNDS:

Karachi ke nau jawan larkon ko Cricket, Hockey, Squash, Football, Volley ball, Snooker aur Dabbo ( Carom ki tarha ka aik khel ) se barhi dilchaspi hai. Khel ke maidanon mein National Stadium, Hockey Stadium, P.I.A Squash Complex, K.M.C Sports Complex, Bakhtiyari Youth Center aur K.M.C Stadium waghera Laiq-e-zikar hain.

ENJOYMENT PLACE:

Clifton, Sandspit, Hawksbay, Manorha aeham tafreegahen hain. Clifton mein bachey Camel ( Oont ) ki sawari se barhe lutf andoz hote hain. Hill Park P.E.C.H.S ke ilaqey mein waqeya is paharhi ke oper se pore Karachi shehar ka nazara kiya ja sakta hai. Deegar Parkon mein Aziz Bhatti Shaheed Park, safari Park bhi laiq-e-zikar hain. Karachi mein aik Zoo bhi hai, jo ke Garden Road par waqeya hai, yahan dunya bhar ke janwar rakhe gae hain. Bachon ke liye Elephant ( Hathi ) ki sawari ka intezaam bhi maujood hai.

INDUSTRIAL AREA:

Sanati lihaz se barha taraqqi yafta shehar hai, yahan do barhe sanati marakiz qaiym hain, jin mein Site Area aur dosra Korangi Shamil hai. Is ke ilawa Federal B.Area aur New Karachi mein bhi sanati ilaqe qaiym hain. Aeham sanaton mein Sabunsazi ( Soap ), Banaspati Ghee, Kaprha, Cheeni ke bartan, Pankhe, Bijli Ka Saman, Adwiyat, Garhiyan aur Oil saaf karne ki sanaten shamil hain.

PORTS:

Karachi ke sahil par 2 barhi bandargahen tameer ki gae hain. Yani Karachi aur Bin Qasim.