Shamsher Hyderi Biography in Urdu

Shamsher Hyderi was born on 15 September 1931 in Kandhan Town of Badin District. He was a renowned Sindhi poet. Shamsher ul Hyderi was also an anchor, journalist and script writer. He worked as a Secretary General of Poetry Companion in 1966. He organized the Sindhi companion two times in Nawabshah. When Shamsher Hyderi had government job, so then he gave the charge of Secretary General to Tanveer Abbasi. He established many branches of Poetry companion in different areas of Sindh. Shamsher ul Hyderi worked as an organizer in PTV and then he organized the Sindhi PTV News Section. He translated almost 200 books and printed the eight books. Shamsher ul Hyderi died on Friday 30 August 2013 after serious illness cause of Cancer at the age of 79 in Karachi. In this page, you can see the information about the Sindhi Poet Shamsher ul Hyderi.

Shamsher ul Hyderi Biography in Urdu

Sindh mein adab ki duniya mein kae darakhshinda sitare peyda hue aura dab ke ufaq par apni takhleeq ki roshni se adab ke aasman ko munawwar rakha. Shamsher ul Hyderi iss duniya se chale jane ke baad bhi hamare sath rehte hain. Adeeb, shaiyr, mohqiq, anchor aur script writer Shamsher ul Hyderi bhi un sitaron mein se aik hain, jinhe hum se bichre aik saal ho gaya hai, magar aaj bhi un ki yadein, us kea dab mein kiya hua kaam har dil mein maujood hai. Shamsher ki zindagi ka khaka, kawishen aur mehnat ke barey mein to hum aap ko batate hain. Shamsher se jab bhi mulaqat hoti thi to un ke hath mein cigarette aur tea ka cup zaroor hota tha. Wo chain smoker the aur qehwa tea zaroor pite the. Jis mein sirf cheeni wala aadha chamach aur doodh dalte the. Tea har waqt un ke sath rehti thi. Unhe jab bhi kisi mehfil mein dekha khush dekha, in ke chehre par kabhi bhi mayosi nahi hoti thi. Shamsher Ali Hyderi ne apni guftugo mein ziyada tar Sindhi adbi sangat ko mauzoo banae rakha tha. Unho ne bataya ke Sindhi adni ka qiyam Pakistan banne se pehle hua tha aur jab Karachi mein Matha Raam Hall mein sangat wajood mein aai to us mauqey par Sobhagyan Chandani aur Goband Mali bhi maujod the. Partition ke bad kafi Hindu poet Hindustan chale gae the.

Sindhi adbi sangat mein kuch member aise bhi the, jin ka talluq jamiyat shora se tha aur wo mazhab ke muamley mein bohat kattar the. Unho ne bhi ikhtelaf zahir kiya. Is silsile mein sab se pehle Ayaz Qadri ne sangat se resign diya, wo sangat ke pehle secretary General bhi the. Shamsher ul Hyderi us waqt joint secretary the. Is liye inho ne secretary general ka charge sambhal liya. Yeh auhdaa Shamsher ke paas 1966 tak raha. Jis ke dauran inho ne 2 dafa Sindhi adbi sangat ke convention munaqid karwae ko Nawabshah mein kiye gae. Jab Shamsher ko sarkari naukri mili to unho ne yeh charge Tanveer Abbasi ko de diya. Shamsher ne apne daur mein kae branches sangat ki Sindh ke mukhtalif shehron mein qaiym karwai aur adbi logon ko sangat ka member banaya.

1960 mein General Mohammed Ayyub Khan ke zamane mein Education Commission banaya gaya tha. Jis ne tey kiya tha ke sirf 4 class tak Sindhi parhai jaegi, is ke bad Urdu parhai jae. Is silsile mein Sindhi adbi sangat ne aik tehreek chalai jis ke natijey mein yeh hukum wapis le liye gaya. Ab MA tak Sindhi zuban parhi aur likhi jati hai. Is ka credit sangat ko jata hai. Shamsher ul Hyderi sari umer Sindhi zuban ko farogh ke liye koshaa rahe. Aik zamana tha ke Sindhi adbi sangat Radio Pakistan no go area tha. Jab wahan par kuch aasani peyda hui to Shamsher ne radio ke liye kae feature program likhe aur poetry bhi likhi. Magar jab February 1970 ko PTV par Sindhi section ka qiyam hua to is mein Shamsher ne ras rahan program ke liye kaam kiya, jise Abdul Kareem Baloch produce karte the. Us waqt Aslam Azhar Karachi center ke GM the, jinhe Father of PTV kaha jata hai, wo bohat intelligent the. Bad mein Shamsher ko PTV mein organizer ke taur par admit kiya gaya aur wahan Shah Bhittai ke unwan se program karte the. Shamsher ul Hyderi ne Sindhi PTV News Section ko bhi organize kiya tha.

PTV par Shamsher ne bohat se Urdu aur Sindhi dramas likhe. In ke tarjumey kiye hue mushaeyre “ Geet Manzar ” ke naam se Urdu mein 6 months tak chalne wale program ne barhi maqboliyat hasil ki. Jis mein Sindhi folk geeton ko Urdu mein pesh kiya gaya. Unho ne Sindhi film “ Be Zuban ” ke songs bhi likhe jo radio se waqtan fawaqtan nashar hote rahe hain, magar afsoos key eh film release na ho saki. In ka shaeyri majmoaa kalam 1962 mein “ Laat ” ke naam se print hua tha, jo 82 pages par mushtamil tha. Inho ne “ Kaak ” ke naam se aik drama bhi likha, jo 12 episodes ka tha, ise Sangam Publication walon ne shaey kiya tha. Andazan 200 ke qarib books inho ne tarjumey kiye hain aur 8 kitabein Urdu aur Sundhi mein print ki gai hain aur baqi aur bhi mawad hai jo hath se likha hua hai. In ki likhi hui books BA aur MA mein Karachi University mein parhai jati hain.

Shamsher ul Hyderi 15 September 1931 ko zila Badin ke shehar Kandhan mein peyda hue. In ke walid ka naam Rasool Bakhsh tha. In ke dada Haari the, magar wo hikmat ka kaam bhi jante the. Is liye unho ne Badin mein punsari ki shop khol li aur hikmat bhi karne lage. Unho ne is kaam mein barha naam kamaya. Phir yeh kaam Shamsher ke walid ko muntaqil hua aur phir Shamsher ko mila. Shamsher ke Nana leather ka kaam karte the aur bohat rich aadmi the. Shamsher ne Madarsey se ibtedai taleem hasil ki, jo Ghareeb abad Muhalley Badin shehar mein waqeya tha. Yeh madarsa Maulvi Haji Ahmed Mullah ne qaiym kiya tha. Is ke bad Shamsher ne 4 class primary aur phir English mein pass ki. Jis ke bad unhe mazeed taleem ke liye Karachi bheja gaya, jis ke bad wo Matric ka imtehan pass na kar sake, kyun ke Madarsey ke head ne in par yeh ilzam lagaya ke madarsey mein jo strike ho rahi hai, is ka zimmedar Shamsher hai. Jab ke aisa nahi tha. Kyunk e strike se qabal wo 1 month bemar the aur Badin mein apne Ghar par the. Shamsher ko madarsey se nikal diya gaya. Inhe leaving certificate bhi nahi diya gaya. Isi dauran inho ne NJV school mein parhai jari rakhi, jahan se bhi leaving certificate hone ki wajah se nikaal diye gae. Aakhirkaar inho ne Tando Bago mein Khan Bahdur Ghulam Mohammad School mein admission liya, jis ne kae achi shakhsiyaton ko taleem di thi. Wahan se inho ne primary ka imtehan pass kiya, halan ke inhe sakht bukhar aur vomits ho rahi thin. Lekin phir b inho ne matric ka imtehan diya, magar fail ho gaey. Phir supplementary imtehan mein bhi fail ho gaey.

Ab wo nakamiyon se ukta gae the aur rishtedaron ke kehne par Shamsher ne shadi kar li thi aur aik Mill ke andar Munshi ki naukri karna shuru ki. Is ke bad aabpashi ke department mein Telephone operator bane phir clerk ho gaey. Aage chal kar wo Sindh cooperative society commercial bank ke manager ban gae, jahan par wo 1954 tak rahe. Phir wo 1955 mein Hilal Pakistan News ke assistant editor kea moor sar anjam dene lage. Us waqt yeh news paper Hyderabad se nikalta tha, jahan par wo aage chal kar news editor ke auhdey par faiyz ho gae. Aik saal bad inho ne Sindhi adbi board join kiya aur Mehran magazine mein kaam karne lage. Is ke ilawa Shamsher ne wahan chapne wali books ki editing shuru ki. In ki Muhammad Usman Deploy ke sath achi dosti thi. Jin ke sath wo bhi Oriental College mein Matric ke imtehan mein bethe aur pass ho gaey. Phir Inter kiya. Is ke bad Sindh University se BA ( Honors ) pass kiya. Phir 1966 mein MA Sindhi mein kiya. 1966 mein Sindh public service commission ke imtehan mein appear hue aur information department mein film and publication section mein join kiya. Information department mein 11 years rahe. Is ke bad wo Ministry of Commission mein chale gae.


Jab PPP iqtedar mein aai to Parvez Shah Youth affairs ke minister bane. Unho ne Shamsher ul Hyderi ko Karachi mein Public relations department ke Chief ke taur par bharti kiya. Is ke bad wo 19 grade mein success pa kar Islamabad chale gae. Aage cgal kar wo 20 grade mein director publicity aur publication bana diye gae. PPP ki hukomat ke jane ke bad inhe wapis Karachi mein 19 grade mein bhej diya gaya, jahan se wo 1.5 years ke bad retire hue. In ke pas Hikmat ka certificate tha. Shamsher ul Hyderi Cancer ka moozi marz mein mubtila ho gae the. Jis ke bare mein barhi deyr ke bad maloom hua. Shamsher ko aakhri dino mein Culture Department Sindh ki taraf se Agha Khan Hospital mein admit karaya gaya, magar zindagi ne in ka sath nahi diya aur wo Khaliq e haqiqi se ja mile. In ki wasiyat ke mutabiq inhe Chokandi ke graveyard mein in ke dost Tajil Bewas ke barabar mein supurd e khaak kiya gaya. Inho ne pasmandigan mein Bewaa, Jin ka haal he mein inteqal hua hai aur 5 betey aur 3 betiyan chori hai. Is ke ilawa Shamsher ne kahon chahne wale aur dost aur 200 se ziyada kitaben chori hain.