Dr Abdus Salam Biography in Urdu
Dr. Abdus Salam was born on 29 january 1926 in Santokh Das district Sahiwal in Maternal family. His Father belongs to Jhang. He is a famous Scientist and He received a 1st Noble Prize in all over the Pakistan. He started his studies at Home, then direct he admitted in three class. He received many Gold Medals and also received a Silver Medal in B.A.Honors with 90.5 % in 1944. He received a degree of Ph.D in physics from Cambridge University in 1952. He died on 21st November 1996. In this page you will read Pakistani Sientist Abdus Salam Biography In Urdu and Roman Urdu.
Dr Abdus Salam In Urdu
Pakistan ke pehle noble inaam yafta Sientist, Dr. Abdus Salam 29 january 1926 ko Santokh Das zila Sahiwal mein paida huye. in ke walid ka talluq Jhang se tha. Abdus Salam ne apni taleem ghar mein he se shuro ki. In ki waldah ne inhe alif bay shuru karwai aur jald he wo likhne parhne ke qabil ho gae. Bohat choti umar mein unho ne Quran Kareem bhi parh liya aur is ka tarjumah bhi seekha. Jab wo 6 saal ke hue to in ke walid inhe school dakhil karwane le gae. Headmaster ne bache ki qabkiyat dekh kar inhe sidha teesri jamat mein dakhil kar diya. Inhe bachpan se he ilm se mohabbat peyda ho gai aur Abdus Salam bohat he mehnat aur tawajja se parhne lage. Mutalla ki inhe itni adat thi ke khane ke dauran bhi parhte rehte.
1934 mein inho ne Jhang centre se 4rth class ka imtehan diya aur awwal position hasil ki. Us waqt in ki umar sirf 8 saal ki thi.1938 mein inho ne middle pass kiya aur zila bhar mein awwal aae aur 6 rupey maahwar wazeefa hasil kiya. Us waqt in ki umar sirf 12 saal ki thi. Middle ke bad wo Govt.Inter College Jhang mein dakhil hue aur science aur riyazi ke mazmoon rakhe. In ki qabliyat ki wajah se inhe library ka incharge bana diya gaya, jahan inho ne bohat si kitaben parhe.
1940 mein Abdus Salam ne Matric ka imtehan pass kiya aur Punjab University mein na sirf awwal aae bal ke aik naya record qaiym kiya. Us waqt in ki umar sirf 14 baras ki thi. Govt.ki taraf se unhe 20 rupey wazeefa mila aur College ki taraf se unhe Gold Medal diya gaya. 1942 mein ap ne F.A. kiya, 85% no.le kar soobey bhar mein awwal aae aur 30 rupey maahwar wazeefa aur aik bar phir Gold Medal hasil kiya. F.A. karne ke bad ap Govt.College Lahore mein dakhil hue. 1944 mein ap ne B.A.honors kiya aur har mazmoon mein awwal aae aur 90.5% no.le kar naya record qaiym kiya aur Gold aur Chandi ka Medal hasil kiye.
Govt.College Lahore mein wo College ke risaley ke Cheif Editor aur College Union ke sadar rahe. 1942 mein ap ne riyazi par tehqeeqi maqala bhi likha. 1946 mein ap ne isi College se riyazi mein M.A. kiya aur 95.5% no.le kar University mein awwal aae.1946 September ko Abdus Salam Englistaan ki Cambridge University mein dakhil ho gae.1946 October se Abdus Salam ne Cambridge mein riyazi ka teen sala B.A.honors ka course shuru kar diya, jise Tripos kehte hai. 1948 mein ap ne B.A.honors ( riyazi ) ki degree hasil kar li.
Cambridge University se inho ne PhD Physics karne ka faisla kiya. Yahan ap ne atomi zarrat par tehqeeq ka aaghaz kiya. In ke zimme aik aesa kaam lagaya gaya jis mein barhe barhe sciencedaan nakaam ho chuke the aur jo talib-e-ilm ap se pehle is par kaam kar raha tha, wo is masley ke hal ke liye America ki us University mein ja raha tha jahan Dunya ke choti ke sciencedaan tehqeeq kar rahe the. Ap ne thore se waqt mein is masle ko hal kar dikhaya, jis par unhe 1950 mein Cambridge University ne Simth inaam diya. Ap Pak-o-Hind ke pehle sciencedaan the jinhe Cambridge mein parhane ka fareeza saunpa gaya. Ap ne Cambridge main tehqeeq ka kaam jari rakha.
1954 mein inho ne aik tehqeeqi maqala likha. 1955 mein 5 aur 1956 mein 4 maqale likhe. Un tehqeeqi kamon ki wajah se ap chand salon mein he aik mashoor sciencedaan ban gae.1957 main aap Imperial College London mein Professor bana diye gae. Ua waqt inki umar sirf 31 saal ki thi. In ke kamon kiqadar karte hue 1957 mein Cambridge University ne inhe Hapkins inaam aur 1958 mein Adam inaam diya. 1961 mein inhe Englistaan mein science ki sab se barhi physical society ki taraf se Maxwell Medal aur aik Saughni inaam mila.1959 main inhe Sitara-e-Pakistan, Pride of Performance aur 20 hazar rupey ka inaam diya gaya.
1964 main aap ko Duniya ki Science ki sab se purani society, Royal society medal diya gaya.1961 main sadar-e-Pakistan General Muhammad Ayyub Kha’n ki peshkash par Dr. Abdus Salam Sahab ne bagher tankhwa hukoomat ka sciency musheer banna manzoor kar liya aur mukhtalif khidmat anjaam de. 1968 main General Muhammad Yahya Khan Pakistan ke sadar bane aur 1971 tak sadar rahe. Is arsey main bhi Dr. Abdus Salam hukoomat ke sciency musheer-e-aala ki hesiyat se faraiyz sar anjaam dete rahe. Is dauran ap Pakistan Science foundation ka qeyam amal mein lae. Zulfiqar Ali Bhutto ki hukoomat mein bhi wo bila muaafza sciency mushawraat ka kaam anjam dete rahe.
App ke tehqeeqi career ka aaghaz 1949-50 se hua tha aur wo 1993 tak musalsal tehqeeqi kawishen karte rahe. Bohat kam log hai jin ki tehqeeq ka arsaa itna taweel ho. Is baat ka qaumi imkaan tha ke inhe dobara noble prize mile, lekin in ki sehat bohat kharab ho gae aur wo aik khatarnaak bemari mein mubtila ho gae,jis mein paththon ki harkat mutasir hoti hai. Jab tak himmat rahi wo wheel chair par bhi apni sargarmiyon mein lage rahe. Safar bhi karte rahe aur mukhtalif mumalik ke daurey bhi kiye, hatta ke chalne phirne ke bilkul qabil na rahe. Bil aakhir 21 November 1996 ke roz in ka inteqaal ho gaya.