Nawab akbar khan bugti

Nawab Akbar Khan Bugti

Nawab akbar khan bugti, Nawab Mehrab khan bugti ky bety thy. Ap 1931 mein paida hue thy aur jab wo sirf 12 saal ky thy toh inky walid kaa intaqal hogya. Inho ny apni ibtadayi taleem Karachi se hasil ki aur cambridge atchison lahore se hasil ki. Wo aala taleem ky liye beroony mulk chaly gye or Oxford university se “Bar-at-law” kiya.Jab wo wapis aye toh muqaably ky Exams mein shareeq hua or Balochistan mein 1st (Pehli) position hasil ki he. Lekin wo Civil services mein Shaamil nh hue. Nawab akbar khan bugti apni taleem ko poora waqt dety thy. Ap ko parhai se bohat dilchaspi thi. Sardaar khandan taluq rakhny ki waja se apko awami masail ko hal krny ka shoq aur jazba hota tha.

Un ky syaasi career kaa aghaaz 1960 mein hua ja inhony National awami party mein shamoolyat akhtyar ki lekin unky khilaaf Qatal case ky ek muqadmy ki wajah se wo 1970 ky intakhabat mein hisa nh le saky. Kuch ikhtalafat ki waja se bugti ny National awami party (NAP) chodd di or Zulfiqar ali bhutto ki himmayat ki. Inho ny masco mein bhutto se mulaqat ki aur Balochistan ky governer ky Uhdy k liye unki Peshkash qabool karli. Taham nawab bugti ny soobai (Provincial) syasat mein Markazi hukoomat ki adam mudaakhalat na krny kaa mutalba kiya. Iss daftar mein wo sirf 8 maheeny raha or phr London chala gya. Syasat se taweel gair hazri k baad, inho ny BNM ki ticket par 1988 k intakhabat mein hissa liya aur wazeer e aala ban gye.

Ek baar phir aap ny mukhtasir mudat ky liye iss uhdy par faaiz rahy. 1990 mein inhony apni syasi jamait “Jhamuri watan party”, qaim krny kaa faisla kiya.BNM ky bohat se membraan nawab bugti ky Zer-e-asar Jhamuri Watan Party(JWP) mein shaamil hue. 3 baar wo Rukun Qoumi assembly muntakhib hue. 1992 mein, Bugti ka chota beta maara gaya or isky nateejy mein bugti tamam syaasi sargarmyan chodd kar apny abaayi maqam “dera bugti” wapis agya.

NAWAB AKBAR

Sui mein sui gas mutahidid mutalbaat hein or 1953 mein maqami logon aur hukoomat ky beech ek muhaida hua thaa. Lekin kisi bhi taraha iss muhaidy par amal daramad nh hua tha, lihaaza maqami logon ko markazi hukoomat ky khilaaf kaafi shikayat thi. Saal 2000 mein pichla muhaida khatam hua tha or establishment naya muhaida krna chahti thi. Lekin bugti ny btaya ky hukoomat ny guzashta muhaidy ko poora nh kia tha. Ap ny mutalba kiya tha ky “Dera bugti” ky maqami logon ko gas companies mein behtar mulaazmat di jaye or maqami nojawan engineer jo in companies mein Khidmaat anjam dena chahty hein inhy tarjee di jani chahiye.

Nawab bugti dera bugti, sui wagera jesy ilaiqon mein nayi chawnyon ky Qayam ky bhi kilaf thy. Unky khayal he kisi ilaiqy ki taraqi chawnyon k qayam par munazir nahi he. Agr hukoomat kisi ilaaiqy k taraqi k liye waqai sanjeeda he, toh wo waha ki chawni ky baghair bhi kar sakti he. Hukoomat ko eham faisly karny se pehly soobai hukoomat aur maqami logon ko etmaad mein lena chahiye.

26 agust 2006 ko, Nawab akbar bugti ka intaqal uss waqt hua jab kohlu mein ek gaar(cave) tukrron mein gir gaya. Issy dera bugti mein dafan kiya gaya or iski Qabar apny bety aur bhai k pass rakhi gayi. Nawab akbar khan bugti Pakistan ki syasat or tareekh ki bohat baddi shaksyat hein. Ap ek sakht mizaaj or usool passand hein. Nawab akbar bugti ky Qareebi dost or syaasi maahireen ka kehna he ky bugti ek bahadur insaan thy. Pakistan ki tareekh hamesha achy kiradron ko yaad karegi.