Abdul Sattar Edhi Biography in Urdu
Abdul Sattar Edhi was born on 1928 in a city Buntawa State of Gujarat British India. Sattar Edhi father was cloth merchant and belong to middle class family. In human service department, Pakistan and world known personality Abdul Satttar Edhi is a President of Edhi Foundation. It branches are spread all over the world. His wife Mrs. Bilques Edhi ia a founder of “Bilques Edhi Foundation” in 1986. They achieved “Ramon Magsaysay Award” in Human Service Department. Abdul Sattar Edhi serves for others before his self, which became key to success of his life. In this page you will read Abdul Sattar Edhi Biography in Urdu, Roman Urdu and Hindi.
Abdul Sattar Edhi Biography In Urdu
Abdul Sattar Edhi 1928 mein Bharat ki riyasat Gujrat kay shehar Bantawa mein paida huye. Khidmat-e-khalq kay shube mein Pakistan aur duniya ki jani mani shakhsiyat Abdul Sattar Edhi al maroof moulana Edhi Pakistan mein Edhi Foundation kay sadar hain. Edhi Foundation ki shakhein tamam duniya mein pheli hoye hai. In ki wife mohtarma Bilquis Edhi Foundation ki sarbarah hain. Dono ko 1986 mein awami khidmat kay shube mein saman maksa award say nawaza gaya.
Abdul Sattar Edhi ka walid kapray kay tajir thay aur motawasit tabqon say taluq rakhtay thay. App paidaishi leder thay aur shuro say hi apnay doston ki chote chote kamo aur khel tamashe karne per hosla afzai karte thay. Jab in kay walida inhein school jate waqt do pese dete to woh in mein say aik paisa kharch karlate the aur aik paisa kisi zarurat mand ki zarurat puri karne kay liye de detay. 11 saal ki umar mein inhone apni maa ko dekh bhal ka kaam sambhala jo shadeed qisim kay ziya diabetes mein mubtala thein. Choti umar mein hi inhon nay apnay say phelay dusron ki madad karna sikh liya tha, jo agay ki zindagi kay liye kamyabi ki kunji ban gaya.
1947 mein Taqseem-e-Hind kay baad in ka khandan Bharat say hijrat kar kay Pakistan aya aur karachi mein abad huwa. 1951 mein app nay apni jama poungi say aik choti si dokan khareedi aur issi dokan mein app nay aik doctor ki madad say choti si dispensary khuli jinhone in ko tibi imdad ki mubadiyat sikhaye. Iss kay alawa app nay yeaha apne dosto ko tadrees ki taraf bhi ragab kiya. App nay sada tarz-e-zindagi apnaya aur dispensary kay samne bench per hi so late ta kay bawaqt zarurat fouri tour per madad ko pohunch sake.
Edhi Foundation Pakistan
1957 mein Karachi mein bohot bare pemane per flow ki wabah phali jis per Edhi sahab nay fouri tour per rade ammal kiya. inhone nay shehar kay nowah mein khemey lagwaye aur muft madafati adwaiyat farham kein. Mukhiyair hazrat nay in ki dil khul kar madad ki aur in kay kamo ko dekhte huwe baqi Pakistan nay bhi imdadadi raqam say inhone woh puri imarat kharedli jaha dispensary thein aur waha aik zachgi kay liye center aur nurseon ki tarbiyat kay liye school khula aur ye hi Edhi Foundation ka aghaz tha. Anay wale salao mein Edhi Foundation Pakistan kay baqi elaqo tak bhi phelti gai flu ki waba kay baad aik karobari shaksiyat nay Edhi ko kafi bari raqam ki imdad di jis say inhone aik ambulance khareedi jis ko woh khud chalate thay. Ajj Edhi foundation kay pass 600 say zada ambulance hain jo mulk kay tool o arz mein pheli hoi hain.
Karachi aur undorene Sindh kay liye woh khud rawana hote hain aur Edhi foundation ki hadsat per rade ammal ki raftar aur khidmat municipal ki khidmaat ziada taiz behtar hain. Hospital aur ambulance khidmaat kay alawa Edhi foundation nay clinic zachgi ghar pagal khana mazoro kay liye ghar blood bank yateem khane lawaris bacho ko goud lene kay marakaz panha hain aur school khule hai is kay elawa ye foundation nursing aur ghardari kay cource bhi karwati hain… Edhi marakazi aik khasiyat ye bhi hai kay Edhi marakz kay bahir bacha gari ka ahtemam hai ta kay khawateen bache ki dekh bhal nahi kar sakti apne bache ko yeaha chor kar ja sake is bache ko Edhi foundation apne yateem khane mein panha deti hai aur isko muft taleem di jati hai.
Edhi International Ambulance ka qiyam
Foundation nay sirf Pakistan mein hi nahi bal kay bain ul aqwami satah per bhi turraki ki hai. Islami duniya mein Edhi foundation har musibat aur mushkil waqt mein aham imadad farham karti hai. Jahaan imada aur nigrani Edhi bazat khud mutasira mumalik mein jakar kartay hain. Pakistan kay elawa foundation jin mumalik mein kam kar rahi hai in mein say chand naam Afghanistan,Iraq, Chechnya, Bosnia, Sudan, Ethiopia aur qudrati afaat sonami say mutasira mumalik kay hain.16 August 2006 ko Bilquis Edhi aur kubra Edhi ki janib say Edhi international ambulance kay qayam kiya gaya jis kay tehat duniya kay ameer gareeb ho ya diniya ka koi bhi mulk America,Uk, Israel, Shaam, Iran Bharat, Bangladesh hon, mein ye ambulance batour atiya di jarahi hain aur inhein hidiyat ki gaye hai kay woh ye ambulances ko 5 saal tak istemal karne kay baad frokht kar kay iss ki raqam kherati kaamo mein istemal karein.
Begum Bilquis Edhi aur Kubra Edhi nay is mouqe per kaha kay woh duniya ka ameer ya ghareeb mulk ho wahaan mareez mareez hi hota hai. ambulance ka maqsad insano ki jane bachana hota hai aur humay iss baat ki khushi ho gi kay Edhi International Ambulance Foundation ki ambulances duniya bhar mein insano ki janein bachayein khwa woh London, New York , Tokyo, Tilabib, Beirut aur Damishq hoon. inhon nay kaha kay insaniyat ki ban ul aqwami khidmat kay hawale say hamara aik qadam aur age bhar raha hai. Ajj Pakistan kay alawa Islami duniya mein bhi Edhi nay aik ghar khudgharz aur muhtarma shaks kay tour sherat pai hai shurat aur izat kay bawud inhone apni sada zindagi ko tarak nahi kiya woh sada rawati Pakistani libas pehante hain jo sirf aik ya do din in ki mumlikat hai iske alawa in ki malkiyat khele joto ka aik jora hai jis ko woh sabqa 20 sal say istemal kar rahe hain Aur ye bhi haqiqat hai kay Edhi foundation ka begat aik caror ka hai jis mein say woh apni zat per aik paisa bhi kharch nahi karte.
Edhi Foundation Ambulance Service
App kay beta Faisal batate hai jab Afghanistan mein markaz ka iftetah kiya ja raha tha to amla mehmano aur sahafiuo kay bethne kay liye kursiya kharedli jab Edhi wahan aye to woh is baat say sakht khafa huwe khun kay in kay khayal mein ye raqam kisi zarurat mand ki madad per kharch ki ja sakti thi. Iss raat clinic kay farash per ambulance kay drivers kay sath soye. Ajj Edhi foundation taraqi ki rah per gamazan hai. Edhi mustaqbil ki taraf dekhte huwe kahte hain, woh Pakistan kay har alaqay mein per hospital tameer karna chahte hain. Agar cheh in ko ahteram kay tour per moulana ka laqab diya gaya hai lakin woh zati tour per is ko pasand nahi kartay. Inhone kabhi kisi mazhabi school mein taleem hasil nahi ki. Woh apne app ko doctor kehalwana pasand kartay hain. khun kay insaniyat ki khidmaat per Pakistan mein Institute of Business Administration say doctorate ki azarai digri di gai hai.
Genis Book of world Record
Woh iss baat ko bhi sakht napasand karte hain jab log in ki ya in kay kam ki taref kartey hain. Woh hukumat ya sabqa mazhabi jamaton say imdad bhi nahi latay khun kay woh samjhte hain kay in ki imdad mashrot hoti hai. General zia ul huq aur atalvi hukumat ki imdad inhone issi khayal say wapas kardi thi. 1996 mein in ki khudnost sawane hayat “khuli kitab” shaya hoi 1997 ki Genis Book of world Record kay mutabiq Edhi foundation ki ambulance service duniya ki sub say bari falahi ambulance service hai. Edhi bazat khud bagair choti kiye taweel tareen arse tak kam karne kay alami record kay hamil hain aur record bane kay baad bhi abhi tak inhone nay chutti nahi li.
1988 mein inhe lenun aman inam mila. 1992 mein Pal Hires Rotary International foundation ka felo banaya gaya 2000 mein insaniyat, aman aur bhai charay ka International Balzan Prize mila aur 2005 mein almi Meman tanzeem ki taraf say life time achievement ka azaz diya gaya.