Waheed Murad Biography in Urdu
Waheed Murad was born on October 2, 1938 Sialkot. He is the well known personality in the Pakistani Film Industry. Waheed Murad is called as a Chocalte Hero. 23 November 1983 Waheed Murad was died in Karachi. In this page, you will about Waheed Murad Filmi career and biography in Urdu and Roman Urdu.
Waheed Murad Biography In Urdu
Pakistan ki filmi sanat mein 60 aur70 ki dehayon ko baja tour par Waheed Murad ka zamana qarar diya ja sakta hai ager chay iss dour mein Santos, Darpan, Sudheer, Eajaz, Habib aur bad mein Mohammed Ali aur Nadeem ne hi apni adakari ke jouhar dekhye lakin un mein se kio actor woh dastani hasiat ikhtiyar na ker saka jo Waheed Murad ko hasil hue.
AkhirAisa Kiun Hua Waheed Murad Ke Sath?
Shayad iss liye ke Waheed Murad ki zati kahani aik mokammal aur kamyab almeay kay tamam anasir khud mein samoye huye hain. To kiya deegar hum asar actors ki zati zindagi mein koi dramai pehloo nahein tha?
Mohammed Ali Radio Pakistan Hyderabad pe mahaz aik sada kar they zina ba zina taraqi ki manzilein tay ker tey aur badey mokhalif ki tandi se mardana war moqabla ker te huye aik din intehai shan o shaukat se parda e semein par namudar huye kiya yeh aik daramai kahani nahein hai?
Nazir Baig ko Karachi, Lahore, Pindi kahein bhi Radio ne ghas na dali aur unhein Bharat par ker ke Dhakey jana para jahan haftey mein aik adh bar Radio par gazal ganey ka moqa mil jata tha lakin jab Bharat kar Ihtesham ki nazr e karam iss noujawan par pari to film Chakori wajood mein aie aur wahi naujawan raton rat Pakistan ka hero number wan ben geya jisey ab ham Nadeem key nam se jantey haien to keya Nadeem ki dastan e hayat dilchasp nahein hay?
Yaqinan yeh dono kahanyan jaddo jahad aur kamyabi ki azeem misalein haien jabkey Waheed Murad ko na to studio pahochney key leyeh kabhi bason aur rekshon mein dhakkey khaney parey aur na hi mangney key leyeh directron key der peyhazri deni pari woh to soney ka chamcha munh mein ley ker paida huey they aur apnay walid ki badaulat bees baras ki umer mein hi filmon key taqseem kar bun chukey they. 23 baras ki umer mein woh Chocolate Hero ki shohrat ka maza cakh chukey they aur 28 baras ki umer mein unhein Pakistan ki pehli palatenium jubli ke kahani kar Hero aur producer hone ka ajaz mil chukka tha. Jo shaks zindagi ki sari kamyaban moqadder mein likhwaney ke bad iss duniya mein aya ho aur jisey shuhrat amm ki manzil tek pahonchney ke liyeh aik tinka na hilana paraho uski bazahir sedhi aur sapat zindagi mein awam ko kiya dilchspi ho sakti thi?
Lakin haqeeqat yeh hay key apnay maddahon ki jetni bari khaip Waheed Murad ne tayar ki woh Pakistan key kisi Hero ko naseeb nahein hue yeh wahid Hero tha jiskey maddahon ne monazzim hoker fan club tashkeel deay aur ajj is ski mout key itney baras bad bhi yeh maddah uski yad mein ijtemat ker tey haien uski filmon key khasusi show muaqid karatey haien uski qaber par hazri detey haien aur uskey nam par film award jari ker tey haien. Waheed Murad ki iss gair mamuli maqbulyat key bas baz auqat iska mawazna Alewas presley se bhi keya jata hay jo Waheed Murad se das baras pehley issi shorat ki choti pe pahonch ker achanak maut ki wadi mein kood geya tha.
Unani almeay ka Hero zindagi ki tamam khatnaiyan tay kerta hua manzil e maqsood tak pahoch jata lakin shaksiyat ka koi chota sa siqam, tabiyat ki zara si bechayni dil ki koi mamuli si bhool usey zindagi bher ki jaddo jahad key samer se mahroom ker deyti hay Waheed Murad bhi aysi hi aik almnak khami ka shikar huay to aeyea unki kamyaban bhari zindagi mein nuqta talash keya jaye jo biakhir un ki mokammal tabahi ka bas bana.
Waheed Murad key walid Nisar Murad Karachi mein kamyab distri bauter they 1962 mein Waheed Murad ne Karachi University se MA (English) kiya aur uskey bad walid key karobar mein purey tour par shareek hotey huay apni pehli film Aulad ka agaz keya jis key director SM Yousuf they aur adakaron mein Nayar Sultana aur Darpen shamil they Waheed Murad nay iss film mein aik roll bhi ada keya lakin in ki adakari key asal jaouher tab khuley jab un key dost Parvaiz Malik Amrica se film sazi ka diploma ley ker lautey aur unhon nay Waheed Murad ki film Heera aur Patther ki hedayat kari key faraiz sanbhal leyeh.
Waheed Murad Ka Filmi Career
Iss film mein Waheed Murad nay aik gadah gari waley ka kirdar ada keya jo key Zaiba ki mohabbat mein giraftar ho jata hay film ko zaberdast kamyabi hasil hue aur Waheed Murad ko 1964 key behtareen adakar ka Nigar award hasil hua. Bad mein Waheed Murad aur Parvaiz Malik, Mosiqar Sohail Rana aur geet Nigar Masroor Anwar ki aik aysi team tayar hogae jis nay industry kop e der pe kamyab filmein dein lakin iss se pehley Waheed Murad nay mokhtalif hadayat karon key sath mil kam keya jin mein Qadeer Gori, Shouker Hashmi, SM Yousuf aur Hasan Tariq shamil thet. Apni zati company film arts ke bainer taley 1966 mein Waheed Murad nay “Arman” banae iss ki kahani unhon ne khud shochi thi Hero bhi khud they aur produser bhi, director un ke dost Parvaiz Malik they Nagma nigar Masroor Anwar aur mosiqar Sohail Rana aur yahi charon film arts nami company key buyadi satoon they.
Film Arman nay Box office pe kamyabi key tamam guzashta record tor deay yeh Pakistan ki pehli film thi iss ka geet “Akelay Na Jana” aur “Ko Ko Korina” gali gali gunaya janey laga. Karobari raqebon ne Waheed, Parvaiz, Sohail aur Masroor Ki Company ka nam “ chandal choukri” rakh deya tha aur unki her nae film ka ilan dushmanon ki safon mein khalbali macha deta tha.
“Dushman” to film arts ka kuch Na bigar sakey lakin khud Waheed murad nay apnay sathyon ko naraz ker deya charon ki mushterka jaddo jahad se kamyab honey wali her film ka creadit Waheed Murad akeley lena chatey thay Man Bap ki aklouti aulad honey key bas unhon nay bant key khana shayad sekha nahein tha slgira pe milney waley tohfon ki tarah woh her film pe milney wali dad o tahsen ko bila shirket e gairey wasool ker nay ki koshish ker te un key iss rawaeay par sab se pehley Pevaiz Malik berham huey un key bad Sohail Rana aur Masroor Anwar ne bhi saday ihtejaj buland ki.
Yeh woh zamana tha jab Arman key bad Dauraha, Ahsan, Dewar Bhabi aur Dil Mera Dharken Teri kamyabi key jhandey gar chuki thein aur Hero number wan key tour par Waheed Murad ka maqam mateen ho chukka tha. Chunan chey woh doston ki narazgi ko khatir mein na laey aur yun’Film Arts’ ka sheraza bikhar geya. Parvaiz Malik nay apni alehda film sazi shuroo ker di aur Waheed Murad ki jaga Dhaka se aney waley naey Adakar Nadeem ko cast kerna shuroo ker deya. Udher Whaeed Murad nay bhi yeh sabit ker nay ki than lit hi key film arts merey dam qadam se chal raha tha aur parvaiz malik key begair bhi main kamyab filmein bana sakta hoon chunan chey unhon ne film “ ishara”banae aur uski direction bhi khud di.
Waheed Murad Ke Dawon Aur Tamannaon
Waheed Murad ke dawon aur tamannaon key ber aks yeh film buri tara falap ho gae chaklet Hero key leyeh yeh nakami aik anoukha tajurba tha abhi woh iss sadmey se sanbhal bhi na paey they ke Zaiba nay un key sath Heroen aney se inkar ker deya keonkey un ki shadi Mohammed Ali se ho gae thi iss dauran mein Waheed Murad ne Shabnam key sath kuch filmein kein lakin pher Shabnam key shou her Robin Ghosh ki madakhlat par yeh Heroen bhi hat se gae hatta key Nissho key mian nay bhi usey Waheed Murad key sakam ker nay se mana ker deya goya her taraf se hamarey hero ka huqqa pani band ho geya udher film sazon nay Waheed Murad ko aik aisey Hero key roop mein munjamid ker deya jo shaks bagon mein Heroen key pechey pechey geet gata phirta hay kabhi usey chairta hay kabhi manata hay aur kabhi khud rooth jata hay.
Iss tara ka roomanvi Hero 1965 sey1975 tak key das barson mein khasa maqbool raha lakin log aik hi tara ki filmein dekh dekh ker ukta chukey they film saz sirf azmai hue chez yeh paisa laganey key leyeh tayar they 1971 mein Waheed Murad ki Punjabi film Mastana Mahi nay golden jubli ki aur iss ka gana “seuni mera mahi” gali gali gaya janey laga iss maqbuyat se faida utha ker hadayat kar Iftekhar Khan nay dobara qismat azmae ki aur Waheed murad ki aik aur Punjabi film taiyar ki jiska nam hi Seoni Mera Mahi rakha iss mein pehley ki tarah Saloni ko heroen keya geya aur woh tamam herbay azmay gay jo Director key kheyal mein pehli kamyabi ka sabab baney they lakin 1974 mein banney wali Seoni Mera Mahi itni buri tara falap hue key arsa daraz tak Waheed Murad Punjabi key qareeb na phatkey.
Urdu filmon mein bhi yahi surat hal mokhtallif na thi jahan unhein Mastani Mahbooba aur Mahboob Mera Mastana jaisi filmon mein lagey bandhey kirdar deay ja rahey they 1978 mein un ki upar taley teen filmein flap huein 1979 mein bhi Shauket Hashmi, Iqbak Akhter aur Iftekhar Khan ki hedayat kari mein banney wali un ki teen filmein buri tara nakam rahein. 1980 mein suraj tolu hua to usney Waheed Murad ko aik nakam, Mayous , paraganda fiker aur jhunjlaey huay insan key roop mein dekha shohrat ki herjae devi ab Dhakey se aney waley nay Hero Nadeem par anayat ki barish ker rahi thi Waheed key puraney sathi Parvaiz, Masroor aur Suhail jinhein khud Waheed nay raunat se thokra deya tha apnay apnay maidan mein kamyabyon key jhandey gar rahay they.
Kiran Aur Kali Film
“Kiran aur Kali ” Waheed Murad ko apni zindagi mein milney wali kamyabi thi 1981 mein realease honey wali iss film key agey pechey un ki teen char filmein flap huein agley baras bhi unki koi film kamyabi hasil na ker saki filmein jarayed mein ab Waheed Murad key khelaf un sab logon nay bhi ghussa ugalna shuroo ker deya jo Waheed Murad key sath mazi mein kam ker chukey they aur iss key rawaeay se nalan they aik ikhbar ne to yehan tak likh deya tha key 44 sala WAheed Murad mein ab dam kham baqi nahein hay woh aik chala hua kar toos hay usey khud hi aik taraf hat ker naujawan Nadeem key leyeh rasta saf kr dena chae. Wahed ko ab Mohammed Ali aur Nadem ki filmon mein said roll milney lagey jo unhon ne badil e nakhasta qabool to ker leyeh lakin dil hi dil mein kurhtey rahey inhein dino un ki sharab noshi tafreeh taba ki hadood se nikal ker adapt key dairey mein dakhil higae unhon nay nasheeley tambakoo ka istemal bhi ziyada ko pahonch chukka tha Bevi Salma roz roz key jhagron se tang aker Amrica chali gae thi.
Waheed Murad kam mangney key leyeh apnay puraney doston key pas to nahein gaey lakin issi dauran unka purana Pathan driver aur ghareloo mulazim Badar Monir Pashto filmon ka maroof star ban chukka tha balkey apni filmein bhi prodece ker raha tha namak halal molazim nay puraney malik se wafadari ka mozahra ker tey huey usey apni Pashto film, Pakhtun pa wilayat Kamba’ mein kam deya jo Waheed Murad ne qabool ker leya. Issi dauran unhein madey ka alsar ho geya aur naubat aik pecheda opration tak pahonchi jis key bad un ka wazan bahot kam ho geya aur chrey ki rounaq bhi mand par gae unki tamam ter tawaqoat ab apni nae film “Hero” se wabista thein 1983 mein aik TV show key dauran unhon ne apnay maddahon ko yaqeen delaya key nae film realese hotey hi woh pher se mulk key number one Hero ban jaein gein.
Apni uktahat aur bechaine door kerney key leyeh Waheed Murad nay intehae taiz raftari se car chalaney ka mashgala apna leya tha kae bar hadsa hotey hotey rah geya tha lakin 1983 mein iss tara ki taiz driwing key dauran un ki gari aik darakht se takra gae unki jan to bach gae lakin charey pewr zakham ka nishan par geya shadeed mausi key alam mein woh apnay dost Parvaiz Malik key pas gaey aur zindagi mein pehli bar un se kam manga Parvaiz Malik nay un key zakham zada charey ki taraf dekh ker kaha key tum theek ho jao to kam hi kam hay.
Waheed Murad Ki Plastic Surgery
Waheed Murad ne foran Karachi jaker charey ki plastic surgery karane ka mansuba banaya keon ke film ” Hero” ka kuch kam bhi baqi tha jis ke liyeh chare ki durustagi lazmi thi. Karachi mein ab unka hansta basta ghar maujood nahein tha Bevi America ja chuki thi aur beta apni nani ke yahan moqeem tha. Apne opretion se aik din pehle Waheed Murad ne apnay betay ki salgira (birth day) manae usey bohot se tohfey (gift) deye aur raat soney ke liyeh apni munh boli behan Mumtaz Ayoub ke ghar chaley gaye yeh 23 November 1983 ka din tha.
Waheed Murad Death
Uss raat kiya huwa koi nahein janta Waheed Murad ke kamrey ka darwaza din charney tak na khula to maizbano ko darwaza torna para Kamre ke farsh par Pakistani actor murda para tha. Us ke munh mein pan ka bera tha lakin pan mein kiya tha uski khaber kisi ko nahein keon ke Post martam aur mawad ke tajzeye ke begair kuch kahna mumkin na tha. Sarwat o Namori ki Dewi ko nai ahkamat mil chukey they. Woh shuhrat amm ki shama aur baqe dawam ka lebada liye ker Nadeem Shahid aur Javed Sheikh ki talash nikal chuki thai.