Mahatma Gandhi History and BioGraphy In Urdu
Mahatma gandhi, jin ka poora naam “muhandas Karamchand gandhi” he. Ap 2 october 1869 mein India ki ek riyasat k shehar probandar mein paida hue. Ap ne primary taleem probandar shehar se haasil ki. Kaha ye jata he k Gandhi taleem mein darmyani thy magar wo khel khelny mein bilkul dilchasp nahi thy. Ap ny high school ki taleem Rajkot k Alfred high school se hasil ki. Mahatma gandhi Alla taleem hasil krny k liye Samaldas arts college chaly gaye. Ap wo degree mukamal na kar saky aur university se nikal die gye.
Ap apny walid ki 4th biwi k sab se choty bety thy. Unky walid porbandar deewan( wazeer e aala) thy. Yaad rahy k bartanwi Iqtadaar k tehat magrabi Hindustan (Jo aj k waqt gujrat ki ryasat he) wahan pr ek choti si sultanat ka dar-ul- hukoomat tha.
University se nikalny k baad wo apny shehar probandar wapis chaly gye. Kuch ky baad ap ny Law krny ka faisla kiya or iss liye University college london chalgye or ap ny 3 saala degree hasil ki. Ghair faal muzhamat ky or unky falsfy ki waja se dunya bhar mein Ehtraam kiya gy. Uss Ehtram ki waja se apko “Mahatmaa” ka laqab mila jis ka matlab he “Azeem ruhani Shaks”. Ap ny 1900 mein bartaniya raaj k khelaaf junoobi africa se azaad hindustan ki tehreek ka aghaaz kiya. Tehreek chalaty chalaty aap hindustan ki tareekh or syaasi sargami k ek ahem shaks ban gye.
Wo aqsar auqaat ek lambi chaadar aurrty or lungi mein rehty thy. Mahatma hindu aqeedy k bohat perokaar thy. Muhatma gandhi ek seedhi or khush mizzaj shaksyat k maalik thy. Mazloomon ky sath hamesha or har waqt sath khary rehty thy. Apny ny gareeb tabqaat k sath na Insaafi hony ki waja se “bhook harrtaal ki” or baaz dafa jail bhi gye.
1930 mein April se may tak mashahoor “namak march” mein hazaron hindustani Gaandhi k peechy peechy Ahmedabad se Behria arab tak gye. Iss march k nateejy mein Gandhi samet 60,000 hazar logon ki giraftaari amal mein ayi.
1930 mein Time magzine ny apko person of the year ka ezaaz diya. Mahatma gandhi “Aman noble prize” ki waja se paanj baar namzad hue lekin ye award unko ek baar bhi na mil saka. July 1914 ko aap junoobi africa chorr kar Hindustan wapis aye. Pehli jang e azeem mein apny bartaniya ki himayat ki jis ki waja se unhy adam tanqeed ka saamna karna parra. Mahtma gandhi ny 1919 mein rowlatt act ko mustarad krty hue ek tehreek chalaye. Issi tehreek ka ekk Ijlaas Amritsar mein hua jis mein 400 Hindustani Qatal e aam or zakhmi hue.
1947 mein bartaniya ki labour party ka ikhtyaar sambhalny k baad bartaniya, congress party or Muslim league ky beech mein home hukumrani ki baat cheezt shuru hui. Iss saal k aakhir mein bartanya ny Hindustan ko apni azaadi bakshi lekin iss mulk ko do galby hison mein alag kiya; Pakistan or Hindustan. Gandhi ny ibtadai torr pr iss faisly ki mukhalfat ki lekin kuch waqt k baad Muhatma Gandhi iss faisly se ye soch kar raazi hue k muslaman or Hindu ab sath mein amun hasil kar sakengy.
Syaasi morkheen ka kehna he k muhatma gandhi ek ruhani shaksyat k maalik thy. Wo hamesha seedhy raasty or musawaat ki baat krty thy. Gandhi hamesha taleem ko ahmyat or haq ki awaaz ko uthany k liye jido jahad karty thy.
January 1948 mein Gandhi ny Delhi mein amun Qaim krny k liye ek aur roza kiya. Uss rozy ky khatam hony ky 12 din baad aap 30 January ko dehli mein shaam ko ek Namazi meeting k liye jarhy thy toh Hindu junooni, “Nathuram Godse” ny Goli maar kar Halak kardiya. Issi tarah Dunya ny ek azeem Insani huqooq ki jido jahad krny waly or ek motbar leader se mehroom hogye.