Malala Yousafzai

Ek choti bachi ki hesiat se Malala Yousafzai ny Pakistan mein Taliban ki muzhamat ki aur Mutaalba kiya ky larkion ko Taleem hasil krny ki ejazat di jaaye. Inhy 2012 mein taalban ky ek bandook bardar ny sar mein goli maar di thi lekin wo zinda bach gyi 2014, wo “noble peace prize” hasil krny wali kam umar tareen  shaks ban gyi. Malala 12 july 1997 ko mulk ky Waadi e Sawaat mein Waqia, Pakistan ki mingora mein paida hui thi. Apni zindagi ky ibtadai chand salo mein, Yousafzai kaa abayi shahar Tourist spot ka ek maqbool maqam raha Jo mosam garma k tehwaaron k liye mashahoor tha.

Jab taliban ny control sambhaalny ki koshish ki toh ye ilaaiqa tabdeel hona shuru hua. Malala ny ek esy school mein taleem hasil ki jis ky inky walid, educator Ziaudin yousafzai ny Qaim kiya tha. Taliban ny sawat mein larkion k schools par hamly shuru krny k baad september 2008 Yousafzai ny peshawar, Pakistan mein Ek taqreer ki unki taqreer ka unwaan tha “kesy himmat hui, ky taleban mera bunyadi taleem ka haq cheen le?”. 2009 Ky shuruat mein jab wo sirf 11 saal ki thi, malala ny BBC k zariye blog karna shuru kiya tha k wo taleem se inkar krny k liye taliban ky dhamkyon ky tehat zindagi guzar rahi he.

Apni shanakht chupany k liye, isny gul makai kaa name istamal kiya. Taham, iss saal december mein wo BBC ki blogger hony ka inkashaf hua tha. Badhty hue platform ky sath, yousafzai taleem k bary mein apny haqooq aur tamam khuwateen k haq k bary mein baat krti rahy. Unki Sargarmi ka nateeja 2011 mein bachon ky benul aqwaami Peace noble prize k liye naamzad hua. Issi saal, inhy pakistan k peace prize se bhi nawaza gya.

Yousafzai or usky ehly khaana ko maloom hua ky iski sargarmi ki waja se taliban ny inky khilaaf mout ka khatra jari kiya he. Agar che, yousafzai apny walid ki hifazat k liye khofzada thy jo ek mukhalif karkun he. Issy aur isky ehl ekhana ko ibtada mein ye mehsoos hua tha ky bunyad parast ghiro kisi bachy ko dar haqeeqat nuqsan nahi puch sakega.

9 october 2012 ko jab 15 saala yousafzai doston k saath school se ghar jaty hue bus mein sawar hui, toh ek naqab posh bandook bardaar bus mein sawaar hua aur isny janny ki koshish ki k konsi larki Yousafzai he. Jab malala ki doston ny malala ki taraf dekha toh bandooq bardaar ny malala par fire kiya. Malala ko unky sar k baayen janib se taqraya, goli isky gardan se saffar krti rahi. Iss hamly 2 degar hi zakhmi hogyi. Lihaaza malala ko peshawar k ek fouji hospital puchaya gaya. Inki khopri ka ek hisa ilaaj ki waja se nikaal dya gya tha. Mazee ilaaj k liye inh England k birmingham muntaqil kardiya gya.

October 2013 meinm european parliament ny apny kaam k etraaf par malala ko “Sakharov prize for freedom”  ky inaam se nawaza gya. Unko october 2014 mein “Peace noble prize” mila. Ye awaard pany wali malala pehli kam umar shaks ban gyi. April 2017 mein, United nation (aqwaam e muthaida) k secreteertry general ny larkion ki taleem ko fraag deny k liye malala ko “American messanger of peace” muqarar kiya. Ye taqreeri aqwaam mutahida ki taraf se 2 saal ki ibtadai mudat k liye diya jany wala sab bada ezaaz he. Malala yousafzai ko april 2017 mein canada ki ezaazi shehryat bhi di gyi thi. Wo azaaz hasil krny wali mulk ki tareekh ki 6th shaks or Kam umar hein.

Haal hee mein malala scholarship fund aya he. Jisky tehat gareeb or remote areas ki larkian taleem hasil kar sakengi.