Imran Khan Niazi Biography in Urdu

Imran Khan Niazi is the well-known personality. Every one knows about him. Imran khan was born on 25, November 1952. He is the great politician and former cricketer in Pakistan. Imran Khna is the Founding Chairman Board of Governors of Shaukat Khanum Memorial Cancer Hospital & Research Centre and Chancellor of the University of Bradford. He was the best cricket player as well as captain of Pakistan Cricket Team. He married in 16 May 1995 with Jemima. Imran Khan Naizi became the political party chairman of Pakistan Tehreek-e-Insaf in 25 April 1996. He is the great leader. In this page, you will read Imran Khan Naizi news and biography in Urdu and Roman Urdu.

Imran Khan Biography In Urdu

Imran Khan Niazi: Pakistan kay azeem tareen cricketer meim shamil tarekh kay azeem tareen all rounder mein say aik mashour samaji karkun aur mojoudah siasatdan ka pura naam Imran Ahmed Khan Niazi hai. App 25, November 1952 mein Lahore mein Ikramulla Khan Niazi kay ghar paida huye.

Duniya kay azeem cricketer Pakistan team kay sabiq captain Shaukat Khanum Memorial Hospital kay bani aur tehreek-e-Insaf kay sarbarah Pakistan cricket team kay liye 1971 say 1992 tak khaltay rahay. App nay ibtedai taleem Lahore mein Cathedral School Lahore aur Achison College Lahore say hasil ki. Iss kay baad alla taleem kay liye Britannia chale gaye wahan Royal Grammar School mein parha aur phir oxford university say BA owners kiya app nay 1974 mein oxford university cricket team kay captain bhi rahay.

App nay first class cricket ka agaz 1969 say Lahore ki taraf say Sargodha kay khilaf kheltay huye kiya 1971 mein England kay khilaf phela test match khalay 21 sal per muhet apney carrier kay doran app nay 88 test matches khal kar 362 wickets 22.81 ki osat say hasil kiye app nay 1981 -1982 mein Lahore mein sri Lanka kay 8 khalari sirf 58 runs dey kar out kiye aur 23 martaba aik inning mein 5 wickets hasil kiye app nay 36.69 ki osat say 3807 runs banaye jin mein say 5 centuries bhi shamil hain. App ka ziada say ziada score Adelaide mein 1991 mein Australia kay khalaf kheltay huye 132 runs raha. Imran Khan ka shumar Pakistan cricket kay kamyab tareen caption mein hota hai. woh Pakistan kay pehlay caption thay jin ki qayadat mein pakistani team nay Bharat ko Bharat aur England ko England mein haraya in kay zare qiyadat Pakistan ki team duniya bhar mein wahid team thi jis nay West Indies ki zabardast team kay khilaf 3 test series barabar kiye iss dour mein duniya ki kisi aur team ko ye azaz hasil nahi huwa batour caption Imran Khan 48 test matches khalay jin mein say 14 jete aur 8 hare aur 26 maches drow ya bagair kisi nataij kay khatam huye.

Pakistani cricket team nay 1992 mein Imran Khan ki qayadat mein kheltay huway 5 wein cricket World Cup jeeta. Ye azaz bhi abhi tak Pakistan sirf aik dafa hi hasil karsaka. Imran Khan 175 one day machetes mein hissa liye aur 182 wickets hassil kiye app nay 3709 runs 33.41 ki osat say banaye in ka ziada say ziada scoure 102 not out tha jo inhon nay Sri Lanka kay khilaf 1983 mein banaya. Imran khan ki qayadat mein 139 one day match khalay gaye jin mein say 77 jeete 57 hare 4 be nateja rahe jab kay 1 match barabar raha.

App nay majmoye tour per world cups mein hisa liya jo kay 1975 say lay kar 1992 tak munaqad huway 1992 kay world cup ko jitney kay bad app cricket say retirement ho gaye aur samaji kamon mein hissa lena shuro kardiya app nay cancer kay marezo kay liye Asia ka sub say bara hospital Shukat khanam Memorial Hospital Lahore aik truest kay zariye qaim kiya. Imran Khan Pakistani qaum ko iss hospital ka bani qarar detay hain. Inhein hukumat Pakistan ki janib say sadarti award bhi mila alawa woh aza 1992 mein insani huqoq ka Asia award aur hilal-i-imtiaz 1992 mein ata huye. App bread ford university Britannia kay Chancellor kay tour per bhi khidmat anjam dey rahe hain.

Imran khan nay sirf cricket kay maidan apni suhlahiyat ka loha manwa chuke the bal kay medan say bahir bhi in ki shaksiyat mutasir kun thi kabhi inhe play boy say pukara jata to kabhi bara sanjeeda samaji karkun kay nam say ubhre inhein aik Australian news peper Oz nay sal kay sub say pur kashish mard ka khatab bhi diya in per ilzam hai kay woh lord godrey white ki beti seeta white ki beti kay walid hai jab kay Imran Khan hamesha say iss ilzam ki tarwed karte aye hain. 1995 mein Imran Khanne marhum bartanvi arab pati sarjims goldsmith ki beti jemama goldsmith say shadi ki jemama smith nay shadi say phelay Islam qaboul karliya tha in ka Islamic name jemama khan hai. Iss shadi ka shurat puri duniya mein huwa international media nay iss ko khusosi ahmiyat di 22 June 2004 ko iss jore mein talaq ho gayi. Imran Khan ka kehna tha kay woh apni masrof zindagi ki wajah say inhein waqt nahi dey patey thay.

App nay 25 April 1996 ko tehreek-e-Insaf qayam kar kay siasat maidan mein qadam rakha. Ibtedai tour per inhain kamiyabi na mil saki lakin haliya dino mein woh apni jado jehad aur usool parsadi ki badolat Pakistani awam khusosan noujawano mein taezi say maqboliyat hassil kar rahey hain. 1997 kay intakhabat mein in ki jamat koi seat hassil na kar saki ta hum 2002 kay intakhabat mein inhein aik seat hasil hoi. 2008 kay intakhabat mein in ki jamat nay Pervaiz Mushrraf ki zere nigrani munaqad honey wale intekhabat mein hissa layne say asoli bunyado per inkar kardiya.

3 November 2007 ko Pervez Musharraf kay emergence kay nafaz kay alan kay baad app ko Nazar band karne ki koshish ki gai ta hum app police ko jul dey kar farar hone mein kamiyab hogaye. 14 November ko police nay inhein giraftar karliya. Iss say phele woh 12 May ko Chief Justice of Pakistan Justice Muhammad Iftikhar Chaudhry ki really per Karachi mein hone wali fairing aur iss nateje mein hone wali halakato ka ilzam Muttahida Qaumi Movement per laga chukey thay.

Imran khan nay kaha kay in ki zindagi aur Karachi mein tehrek-e-Insaf kay karkun ki zindagi khatra lahaq hai khun kay Britannia hukumat nay Muttahida Qaumi Movement kay London mein muqeem quaid Altaf Hussain kay khalaf qadam nahi uthaya jis say ye log shair ho kar tashadut ki karwai kar saktey hain. Duniya bhar kay akhbarat nay Imran Khan ki Pervez Musharraf kay khilaf jad-o-jehad ko saraha 18 November ko Imran Khan ney Dera Ghazi khan jail mein bhok hartal shuro kiya 22 Nov ko inhein acahanak reha kardiya gaya iss kay baad say ab tak Imran Khan apney bayanat aur Tv per diye gaye. Interview kay zariye awam ki nigha mein rahey hain ta hum mubasireen ka kehna hai kay in kay pass khatir khuwah vote bank aur street power moujud nahi aur ayinda intakhabat mein bhi in kay kamiyabi honey ka imkan kuch zada nahi hai.

Imran khan nay crickets mein qayadat jazbey aur azam ki naye mishalain qaim ki in ki hum gair aur dair pa maqboliyat iss waqt samne aiye jab cricket ki sahafat kay sub say mutabar aur sub say qadeem adare wiz Dan nay cricket ki tarekh kay sub say maqboul all round ka tayeen karney kay liye sarwe karaya aur Imran Khan ka naam sar-e- fehrist ho kar samne aya goya Ian Botham, Richard Hadlee, Kapil Dev aur Jack Kalex all rounder aaj bhi in ki maqboliyat ka muqabla nahi kar saktey sirf ye hi nahi in ki sehar ungaiz shaksiyat nay Pakistan ko cricket ka rukh hi badal diya aur in ki amad kay baad Pakistan mein fast bowler ki amad ka aisa silsila shuro huwa jo aaj tak tham ney mein nahi aya in ki azmat ka ateraf January 2009 mein ICC nay Hanif Muhammad aur Javed Miandad kay sath inhein apney pheley hall of fame mein shamil kar kay kiya dekhna ye hai kay Imran Khan siasat mein bhi aisi hi tarekh raqam kar patey hain ya nahi.