Benazir Bhutto Biography in URDU

Shaheed Benazir Bhutto ko Pakistani siasat mein bohot say log inko mutanaza Shakhsiat samaghtay rahay aur kuch log to inhain “security risk” qarar datay rahay aur bohot say log aisay bhi hain jo inn ko Pakistan ki falah-o-baqa Benazir ki qayadat mein nazar arahi thein aur Pakistan kay charon subon ko Muttahid rakhnay wali zanzeer thien. Lakin ye aik haqiqat hai kay Pakistani balkay Islami Mulkon ki siasat mein jo naam aur muqaam Benazir Bhutu nay Hasil kia, woh kisi aur khatoon kay hisay mein nahi aya. Benazir Bhutto woh wahid khatoon hain jinhoon nay jadeed tarekh mein bazariya intakhabaat kisi Islami Mulk ki sarbarh-e-mumlikat honay ka azaaz hasil kia. Awam nay inpar do martaba aitamad kartay hoye inhain muntakhab kia.

Benazir Bhutto, Pakistan ki pehli Khatoon

Wazeer-e-Azam

Benazir Bhutto, Pakistan kay pehli muntakhab Wazeer-e-Azam Zulfiqar Ali Bhutto ki sab say bari bati thien, 21 June 1953 ko karachi mein paida hoye. Ibtadaye taleem inhoon nay Lady Jennings Nursery School aur Karachi kay Jesus and Mary Convent mein hasil ki. 10 saal ki umar mein Mari kay Jesus and Mary Convent mein bheg dia gaya aur iss kay char saal baad America ki Harvard University mein. 1973 mein Harvard University say graduation karnay kay baad inhoon nay Oxford University mein dakhla lia wahaan say philosophy, Economics, Politics mein graduation ki. Benazir Bhutto nay doraan-e-taleem Oxford Union kay intakhabaat mein hissa liya aur union ki president muntakhab hoyein. Apni Post graduate studies mukammal karnay kay baad 1977 mein watan wapas laut ayein.

Zia ul Haq Martial Law

5th July 1977 ko Zia ul Haq nay Pakistan mein Martial law lagadia jis ki waja say Zulfiqar Ali Butto ko takhtadar ka moun dakhna para aur Benazir Bhutto ko harasat mein lalia gaya. 1979 say 1984 tak ka arsa Benazir Bhutto nay mukhtalif jaloon mein qeaid-o-band ki sobatain jhaltay mukhtalif muqamaat per nazar band rehkar guzara. Iss doraan inhun nay 10 mah ki qeaid-e-tanhaye bhe kati. 1984 mein reha honay kay baad woh khud sakhta jila watni kay tehat 2 saal kay lia England chali gayein. August 1985 mein woh apnay bhi shanawaz Bhutto ki tadfeen kay lia watan lotein jissay France kay sahar canes mein zahar day kar halaq kardia gaya tha. Iss kay aik saal kay baad Martial law hatalia janay par Benazir Bhutto mustaqil tore par Pakistan agayein. 10 April 1986 ko inki wapsi per Lahore Airport par lakhon logo nay unka isstaqbal kiya wapsi kay baad unhoon nay poray Pakistan mein raliyaan munaqid ki aur Pakistan People’s Party ko aik baar phir zinda kardia. 18 December 1987 ko inn ki shadi Asif Ali Zardari say hoye. Shadi kay baad bhi Benazer, Benazir Bhutto kehlati rahein.

Benazir Bhutto Daur Hukumat

17 August 1988 General Zia ul Haq ki hadsati maut kay baad munaqid honay wali 1988 kay intekhabaat mein Pakistan People’s Party nay numaya kamyabi hasil ki aur 34 saal ki umar mein Benazir Bhutto Pakistan ki tareekh ki kam umar tareen Wazeer-e-Azam ban gayein.

2 December 1988 ko Benazir Bhutto Pakistan ki pehli khatoon Wazeer-e-Azam ka halaf uthaya. Unhon nay apnay pehlay dora-e-hukumat mein 1989 mein Islamabad mein munaqid honay wali shark sarbarah conference ki sadarat ki, PLO kay numainday ko safeer ka derja dia, America aur Britannia kay doray kia. Bharat kay saath siyachin tanazay per muzaqrat kiye aur Pakistan ko dosry martaba dolata-e- mushtarqa ka rukun banwanay mein kamyabi hasil ki. 1 November 1989 ko Benazir kay khelaf assembly mein tehreeq-e- adam atemad pesh ki gaye jo nakaam rahi lakin 6, August 1990 ko Sadar-e-Pakistan Ghulam Ishaq Khan nay 8 wein tarmeem kay tehat apnay ikhtayarat istamal mein latay howay assemblyan tordein aur Benazir Bhutto ko uhdah Wazarat-e-Uzma say mazol kardia. 3 September, 1990 ko Benazir Bhutto aur unkay 10 wazra kay khelaf references pesh kiye gaye aur in kay sohar Ali Zardari Per kaye muqadmat qayem kar kay inhein jail bhaj dia gaya.

1990 kay intekhabat mein IJI nay akasariyat hasil ki aur Nawaz Sharif Wazeer-e-Azam Pakistan banay. Benazir nay Parliament mein Opposition leader ka uhda sambhala. 18 March 1993 ko mulki halaat kay pesh nazar Nawaz Sharif nay apnay sathiyon samat wazarat-e-Uzma say istafa day dia aur Sadar Ghulam Ishaq Khan nay assembly tehleel kardi. October 1993 mein honay walay intaykhabat mein Benazir bhutto ki party nay aik dafa phir aksaryat hasil kar li aur Benazir bhutto dusri martaba Pakistan ki Wazir-e-Azam kay tour per samnay aiyeine.

Shaheed Benazir Bhutto kay pahlay dour-e- hukumat ki tarah un ka dosra daur-e-hukumat bhi saisi adam itmenan aur tanazat say bhar pur tha. Agar chay kai shobah jaat mein bhetari bhi nazar aie maslan America ki taraf say Pakistan ko blake list say kharij kar diya gaya, Pakistan aur Hong Kong kay darmiyan shoba-e-tawanaie mein duniya kay sab say baray mohaiday per dastkhat huye jis ki maliyat sarhay sath arab dollar the aur France ki taraf say atomi bigly ghar farham karnay ka wada kya gaya. Inn sab kay bawajud halat ki kashidgi barqarar rahi aur yeh kashedgi us waqt uroj per pahonch gaie jab Benazir kay chotay bhai Mir Murtaza Bhutto ko unki apni bahan kay ahde hukumat mein aik intahaye masqooq police maqblay mein sath sathiyon samat halaq kardia gaya. Murtaza Bhutto ki halaqat ko sarkari qatal qarar deya geya aur Asif Ali Zardari ko iska zemma dar tehraya gaya.

5 November 1996 mein Sadar Farooq Ahmed Leghari nay mukhtalif ilzamat kay tayhat Benazir Bhutto ko unkay uhday say mazol kar deya aur assemblyan tor dein. 1997 kay intikhabat mein people’s party hayrat angaiz tour per nakam rahi aur qaumi assembly mein sirf 18 nisahshtain hasil kar sakein. Benazir Bhutto per mukhtalif moqadmat qaym kar kay adalti karwai ki gae laykin issi dauran woh mulk say bahar chali gayein aur khud sakhtah jila watni ikhtyar kar li. Moqadmat chaltay rahay aur Asif Ali Zardari ko 8 sal say zaid arsay ki qeid bhugatni pari. Yeh baat qabile zikar hai kay iss dauran unpar Pakistani adalton mein koi ilzam sabit na ho saka.

Benazir Bhutto Aur “Meesaq-e- Jamhurait”

Nawaz sharif jab Pervez Musharraf ki “karwai” kay shikar hokar jila watan honay per majbor huye to iss tajurbay nay unhain aur Benazir bhutto ko bhi bahot kuch sochnay par majbur kar deya. Mulk mein ayenda jamhuriyat ko farog daynay kay leye unhon nay apas mein mulaqaton ka aik silsila shuru keya jo ARD kay qayam par muntahij huwa. ARD nay General Pervez Musharraf ki hukumat kay khelaf bhar pur mazahmat ka alan keya. Iss daur ki sab say aham paish raft iss waqt hui. Jab 14 May 2006 mein London mein Nawaz sharif aur Benazir kay darmayan “meesaq-e- jamhurait” par dastakhat huya Jis kay tayhat donon nay jamhuryat ko bahal karnay aur aik dosray kay khaylaf istaymal na honay ka faisla keya.

Dosri pesh qadmi iss waqt huie jab 28 July 2007 ko Abu Dhabi mein General Pervez Musharaf aur Benazir Bhutto kay darmeyan aik aham mulaqat huie jis kay baad people’s party ki chairperson taqriban sarah 8 saal ki jila watni khatam kar kay 18 October 2007 ko watan wapis ayein to unka Karachi Airport par faqedul misal istaqbal keya gaya. Benazir Bhutto ka karwan Shara-e-faisal par Mazar Quaid ki janib barh raha tha kay achanak zordar dhamakay huye. Inn dhamakon mein paunay do sau kay lag bhag afrad jan bahaq huye aur sankron zakhmi hoye. Qiamat e sughra kay iss manzar kay dauran Benazir Bhutto ko bahefazat Bilawal house paucha deya gaya people’s party ki chairperson jab apnay bachchon (Bilawal, Bakhtawar aur Asifa ) say milnay.

Dobarah.Dubai gayein to mulk kay andar General Parvez Musharraf nay 3 November ko emergency nafiz kar di. Yeh khabar suntay hi Benazir Dubai say wapis watan lout ayein. Emergency kay khatmay,TV channels say pabandi hatanay aur Supreme Court kay jujus ki bahali ka motalba kartay huye hukumat kay khaylaf tahrek chalanay ka alan keya. Us waqt tak mulk mein nigran hukumat ban chki thie aur mukhtalif parteyan intakhabat mein hissah lanay kay mamlay mein bati huye nazar arahi thein. Iss surat hal mein people’s party nay maidan khali na chornay ki hikmat amli kay tayhat tamam halqon mein umedwar kharay keye aur kaghzat-e-namzadgi jama karay. Agar chay ARD kay faislay kay tahat Nawaz Sharif nay bhi intekhabat mein hissah na lanay ka faisla keya tha lakin Benazir Bhutto nay unhain qayel keya kay herkaron ko khuli chott na de jaye aur halat khwa kaisay bhi hon, intekhabat mein hissah zarur leya jaye.

Benazir Bhutto Death

Intekhabat mein chalaie janay wali mohim kay dauran 27 December 2007 ko Benazir Bhutto Liaqat bagh Rawalpindi say aik jalsay amm say khitab kar kay bahar nikal rahi thein kay unki gari par fairing huie aur uskay sath hi aik falak sagaf dhamaka hua. Benazir Bhutto jo us waqt awam kay purjosh naron ka jawab daynay kay leye gari kay hawadan say bahar nikli khari thien, buri tarha zakhmi huien aur thori hi dair mein khaliq-e-haqiqi say jamilien. Shaheed Benazir Bhutto kay saisi carrier mein kamyabiyan aur na kamiyan khch iss tarah apas mein guthi huein hain kay unhain yeksar kamyab ya nakam qarar dayna taqreban na mumkin hai. Yeh albath aik haqiqat hai kay Pakistani saiasat mein un jaysi khatoon saiasatdan aj tak nahin aiyein aur na shayed ayinda aa sakay unkay walid ki tarah unki shakhsiyat bhi shahadat kay baad bhi Pakistan ki siasat o tareekh ko motasir kar rahi hai aur anay walay waqt mein bhi karti rahay gi.