Qazi Hussain Ahmed Biography in Urdu

Qazi Hussain Ahmed was 3rd elected Leader of Jammat-e-Islami after Syed Abul Ala Maududi and Mian Tufail Muhammad. He was born 1938 at districk Nowshera. His father name Qazi Muhammad Abdul Rab. He was famous Religious Scholar. Qazi Hussain Ahmed got early education from his father. He did graduate Islamia College Peshawar and (M.S.c) in Geography from Peshawar University. After education he appointed as lecturer in Jahanzaib College Syed o Sharif and taught these till 3 years. In this page you will reade Qazi Hussain Ahmed biography in Urdu and Roman Urdu.

Qazi Hussain Ahmed Biography In Urdu

Jamaat Islami kay sabiq Ameer aur Muttahida Majlish-e-Amal kay akhri sarbarah Syed Abul Ala Maududi aur Mian Tufail Mohammed kay bad jamaat Islami kay teesray muntakhib Ameer banay. Qazi Hussain Ahmed 1938 mein Zila Naushehra (Suba Sarhad) kay aik gaon Ziarat kaka Sahib mein paida huye. App kay walid Maulana Qazi Muhammad Abdul Rab Sahib aik mumtaz Alam-e-Deen thay aur apnay ilmi rasukh aur siasi baserat kay bais Jamiate Ulema e Hind subah Sarhad kay Sadar chunay gaye thay. Qazi Sahib nay ibtedai taleem ghar per apnay walid mohtaram sey hasil ki phir Islamia College Peshawar sey graduation kay bad peshawar University sey jugrafiai mein MSC ki. Bad az taleem Jahanzaib college Saido Shareef mein behasiat lecturer app ki taenati hui aur wahan teen baras tak parahtay rahay. Jamaati sergarmiuon aur apnay fitri rojhan kay bais molazmat jari na rakh sakay aur Peshawar mein apna kam shuru ker dia jahan Sarhad Chamber of commerce and industry kay naib Sadar muntakhib huay.

Political Life

Qazi Shib apnay das behan bhaiyon mein sab sey chotay hain. Qazi Hussain kay baray bhai Doctor Atiq ur Rehman aur Marhoom Qazi Atta ur Rehman Islami Jamiat talba mein shamil thay. Qazi Hussain Ahmed bhi un kay humrah Jamiat ki sar garmion mein shareek honay lagay. literature ka motala kia aur yon Islami Jamiat e Talba say wabasta hugaye. Dauran taleem Islami Jameat talba Pakistan mein shamil rehnay kay bad app 1970 mein Jamaat Islami kay rukun banay. phir Jamaat Islami Peshawar shahar aur zila Peshawar kay elawa suba sarhad ki Amarat ki zimma dari bhi ada ki gayi. 1978 main Jamaat Islami Pakistan kay secretary General banay aur 1987 mein Jamaat Islami Pakistan kay Ameer muntakhib ker leye gaye Iss kay bad app char martaba (1999,1994,1992,aur 2004 ) Ameer muntakhib huay aur March 2009 mein Amarat ki zimma darion say sabaq dos ho gae un ki jaga Sayed Manawar Hassan Jamaat Islami kay chauthay Ameer muntakhib huye.

Qazi Hussain Ahmad 1985 mein 6 saal kay leye Senate of Pakistan kay member muntakhib huye 1992 mein woh dobara senator muntakhib huye tahum unhon nay hukumati palisyon per ihtajaj kertay huye bad azan senate say istafa day dia. 2002 kay amm intekhabaat( General Election) mein Qazi Sahib do halqon say Qaumi Assembly kay rukun muntakhib huye. Noorani Sahib ki wafat kay bad tamam mazhabi Jamaton kay itthad MMA yani Muttahida Majlish e Amal kay Sadar muntakhib huay.

MMA And Qazi

MMA mein Maulana Fazlur Rehman kay bar aks Qazi Sahib ka nuqta e nazar hamesha say sakht ghir raha. Haqoq e niswan bil ki manzori kay bad istefa kay bad bhi unki taraf say hui thi aur Qazi Sahib nay party qaiyadat per kafi dabao bhi dala lakin Jamiat Ulema e Islam kay sar barah Maulana Fazlur Rehman kay samnay inki aik na chal saki. July 2007 mein Lal Masjid waqay kay bad app nay Qaumi Assembly say istefa denay ka ilan ker dia. 3 November ko adalat e alia per General Pervez Musharraf kay hamlay kay bad app ko apnay ghar mein nazar band kar dia gaya. 14 November ko Islami Jamiat talbah kay chand arkan ki taraf say Imran Khan per tashadud kay bad Police kay hawaly kernay ka waqah hua do hi roz bad hukukat nay Qazi Sahib aur Jamaat Islami kay baron ki nazar bandi khatam ker di.

ARD And Jameet-e-Islami

ARD kay ithad mein shamil rahty huye Jamaat Islami nay intekhabat mein hissah na lanay ka ilan kia un kay intekhabat mein degar jamaton kay iss waday per qaim na rehnay kay bad Qazi Hussain Ahmed siasat say dilbar dashta hogaye lakin unki jaddo jahad ka silah amriat kay khatmay ki sorat mein samnay ahi chuka tha. Iss liye meray nazdeek who aik khusgawar natejay kay sath siasat sey rukhsat huye. Qazi Hussain Ahmed kay do batay aut do batiyan hain jo kay walda samait Jamaat Islami say wabista hain. Qazi Sahib Mansura mein do kamron kay aik falat mein rehtay hain Qazi Sahib ko apni madri zaban Pashto kay elawah Urdu, English, Arabic, Farsi par abor hasil hai. woh shaiar e Islam Allama Iqbal kay bahot baray khochay cheen hain unhain Farsi o Urdu mein un ka aksar kalam zabani yad hay aur woh apni taqarer o guftagu mein iss seu istefadah kertay hain.

Qazi Hussain Ahmed markazi iqtedar mein kabhi shareek nahi huye. App kay andaz siasat sey bahot son nay ikhtelaf kia lakin app kay kirdar per kisi nay ungusht numai nahein ki aur app ka daman corruption kay dhabon sey pak rahay. Iss itebar say app ko Pakistan ki markazi siasat mein aik misal qarar deya ja sakta hai.